Saturday, April 27, 2024
HomeOthersBusinessBoeing tayyaroun ka bohraan, kayi naye tayyaray zameen par hi mojood

Boeing tayyaroun ka bohraan, kayi naye tayyaray zameen par hi mojood

New York: Boeing idaray ki janib se jari kar da ek elaan mein kaha gaya ke 737 Max hawai jahazoo ka muaina hunooz jari silsilay ke baad ye faisla kiya gaya hai ke aisay mazeed jahazoo ki tayari fil-waqt rokk di jaye. Ye bhi kaha gaya hai ke tarjeehi bunyaad par tayyar shuda hawai jahazoo ki farahmi ka amal mukammal karne ki koshish bhi ki jayegi. Rawan baras ke awail se Boeing company ke 737 Max ko parwaaz se roknay ka silsila shuru hogaya tha. 2018 mein Indonesia aur Ethiopia mein 2 aisay tayyaroun ke hadso mein 338 insani jaanen zaya hui theen.

Boeing company un tayyaroun ko parwaaz ke liye munasib qarar dainay ki koshish mein masroof bhi rahi lekin kamyabi haasil nahi kar saki. Tayyaroun ki pedawar moattal karne ka faisla Americi shehri hawabazi ke qaumi idaray federal Aviation Administration ki janib se Max 737 ko parwaaz ki ijazat na dena bana. Is Americi idaray ne 2020 tak un tayyaroun ko zameen par hi khada rehne ka faisla kiya hai. Iske sath Aviation idaray ke mahireen un tayyaroun ke maayne bhi jari rakhay hue hain.

Boeing ko un tayyaroun ki wajah se 9 Billion Americi dollar ka nuqsaan bardasht karna pada hai. Abhi tak Boeing idaara 737 Max ke bayalees hawai jahaaz har mahinay tayyar karta raha hai. Herat ki baat hai ke ye jahaaz aisay halaat mein tayyar kiye jatay rahay jab America sameit kayi mumalik mein 737 Max ko ground kar diya gaya tha. Ab soorat-e-haal ye hai ke tayyar shuda tayyaroun ki farokht namumkin ho gayi hai.

Boeing company ke mutabiq is waqt 737 Max qisam ke takreeban 400 tayyaray is idaray ke Hangar mein khaday hain. Ye tayyaray Americi shehar Seattle ke qareeb ek factory mein tayyar kiye jatay hain. Is factory mein mulazmeen ki tadaad 12 hazaar ke lag bhag hai. 737 Max ki products roknay ke andazay kuch arsay se lagaye ja rahay thay aur aisay khadshaat bhi ubhray thay ke hazaroun afraad ko mulazimatoun se bar tarf bhi kar diya jayega. Boeing company ne wazeh kiya hai ke kisi mulazim ko nokari se nahi nikala jayega. –YTN STAFF