Friday, April 19, 2024
HomeIndiaBlack Fungus ke khilaaf Modi hukoomat sanjeeda nahi

Black Fungus ke khilaaf Modi hukoomat sanjeeda nahi

NewDehli. Congress ki general secretary Priyanka Gandhi Vadera naay wazeer e azam Narendre Modi se appeal ki hai ke woh Micro Microus ( Black Fungus ) ke badhtay mamelaat sangeen aur dawaayat ki qillat ka bawraan per tashweesh ka izhaar karte hue munasib tadaat main injection ka muft farhaam karne ke appeal ke. Priyanka Gandhi  naay wazeer e Azam Modi ko aik khat likha jis mein kaha gaya tha ke mulk bhar mein black fungus ke  injection  laganay ki faryadain kar rahay hain lekin logon ko is waba ke injection  nahi mil rahay hain. is silsilay  mein social media par anay wali kuch video dildhaladene wali hai aur inteha hi takleef da hai.

Unhon ney kaha ke mulk  mein black fungus ke mareezoun ki tadaad 11000  ko  uboor  kerchuki  hai aur is ke ilaaj ke liye injection munasib meqdaar mein dastyab nahi hain. sab se badi  tashweesh  ki baat  yeh hai ke black fungus se  sharah amwaat  50%  hai. Congress ki general secretary ney is waba ke ilaaj ke mehngay injection par tashweesh ka izhaar kya aur kaha ke is ke injection par mareez  lakhoon rupay kharch kar rahay hain. black fungus  ka ilaa  Ayushman  scheme ke daira ker mein bhi nahi aata, jis ki wajah se logon ko kaafi pareshaniyon ka saamna karna padraha hai, lehaza yeh injection mareezon ko bulaa muwaza farham karna chahiye.

Priyanka Gandhi  ne black fungus ke badhatay hue mamlaat  aur is ki adwiyah  ki qillat  ke tanazur mein markazi hukoomat  ki  ujlat par sawal uthaya aur kaha ke black fungus ke hawalay se mulk  mein jo halat  paida ho rahay hain is ke paish e nazar yeh wazeh hai ke Modi hukoomat  is waba ka muqaabla karne mein sanjeeda nahi hai. unhon ne kaha ke black fungus  ko pehlay hi mulk  mein wabai bemari qaraar diya ja chuka hai lekin 25 May ke baad se hukoomat  ne apne adaad shumaar jaari  nahi kiye hain. is baray mein anay wali khabron mein yeh kaha ja raha hai ke is jaan lewa black fungus ke mamlaat barhatay ja rahe hai. Inno ne kaha ke corona virus ki tarha black fungus ki addaat   shumaar bhi samne aane chahiye.

Congress leader ne kaha ke logon mein shaoor bedaar karne ke liye hukoomat  ke liye zurori hai ke woh logon ke samnay durust  haqayiq paish karen. unhon ne hukoomat  se appeal  ki hai ke woh black fungus  se mutasirah  afraad  ke ahal  khanah  ke dukhoon ko kam karne ke liye injection ki paidawar  aur dasteyabi mein izafah kere.