Monday, May 20, 2024
HomeIndiaBJP umeed waar Bharti gosh ki car se naqad raqam bar aamad

BJP umeed waar Bharti gosh ki car se naqad raqam bar aamad

Kolkata: Khatal lok sabha halqay se BJP umeed waar aur sabiq IPS officer Bharti ghosh ki car se kal raat baday pemanay par naqad Rupay baraamad hue hain. Police ke zaraye ke mutabiq raat 12:30 bajey Mangal bar pingla bara ilaqay mein car ki talashi ke douran Bharti ghosh ke qaafley mein shaamil char gadiyoun se baday pemanay par naqad bar aamad hue hain. Khatal lok sabha halqay mein 12 May ko raye dahi honi hai. Police ke mutabiq yeh raqam 2 Crore rupay se zayed hai. ghosh se pooch tach ki jarahi hai ke yeh raqam kahan se aayi .

Doosri janib Bharti ghosh ne Police par hi ilzaam Ayad kardiya hai ke woh meri car mein rupay rakh kar drama kar rahi hai. is se qabal bhi Bharti ghosh ne Trinamool congress ke mulazmeen ko dhamki di thi ke Uttar pardesh se log bulwakr unki pitaayi karwaen ge. Bharti ghosh ki dhamki amaiz video viral honay lagi thi. doosri janib mamta banerji jo Khatal mein hain, unhon ne kaha ke mujhe meri zabaan khulwane par majaboor nah karen, aap awam ke khilaaf ghalat bol rahay hain aur apni hadd ko paar nah karen . –YTN STAFF