Sunday, April 28, 2024
HomeIndiaBJP rukn-e- Parliament Kalraj Mishra nahi ladenge Lok Sabha Election

BJP rukn-e- Parliament Kalraj Mishra nahi ladenge Lok Sabha Election

New Delhi: BJP ke senior Leader aur halqhe Deoria ke rukan e Parliament Kalraj Mishra is baar Lok Sabha sabha election nahi laden ge. Unhon neh khud is ka elaan kiya hai. Kalraj Mishra ka yeh bayan tab aaya hai, jab ke BJP neh abhi Uttar Pradesh ke umidwaron ki fehrist bhi jari nahi ki hai. Zaraye ke mutabiq 75 saal se ziyada ki Umar walay nah intekhab lad paye ge aur nah kisi ohday par reh payen ge ke faisla ki wajah Murli Manohar Joshi aur Lal Krishna Advani ki bhi Lok Sabha intekhabaat lad ney ki umeed nahi hai.

BJP ki markazi intekhabi committee ke ijlaas ke munaqqid ho neh ke baad bhi ab tak tickets ka elaan nahi kiya gaya hai. 80 Lok Sabha nashiston wali Mulk ki sab se badi riyasat Uttar Pradesh ke liye BJP ki fehrist par sab ki nigehain lagi huwi hain. Kayi Umar daraaz arkaan Parliament ki jagah Noujawan Leadron ko ticket dainay ki baat ho rahi hai. Kaha ja ha hai ke Party is baar 75 saal se ziyada Umar honay ki Waje se Kalraj Mishra ko intekhab ladney ki jagah doosri zimme dariyan dainey ke mood mein hai. Usay bhamte huwe Kalraj Mishra neh ticket ki fehrist jari honay se phelay hi intekhab nah ladney ka elaan kar diya hai.