Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaBJP riyasat mein bad amni peda karne ki sazish kar rahi hai

BJP riyasat mein bad amni peda karne ki sazish kar rahi hai

Bangaluru: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ke reyasti sadar Ilyas Mohammad Tumbe ne party head quarter mein munaqqid ek Press Conference se khitaab karte hue kaha ke sharangezi mein Shankaracharya ke mujasmay par jhande laga kar SDPI aur Muslim baradri par ilzaam laga kar BJP riyasat mein bad amni peda karne ki saazish kar rahi hai jis ki hum sakhti se muzammat karte hain.

Unhoun ne is baat ka wazahat karte hue kaha ke BJP riyasat ke sabiq MLA Jayaraj ne police aur awam ko dhamki di thi aur ye kahani ghadi thi ke ye jhanda SDPI ke kaarkunon ne lagaya hai aur agar police inhen fori giraftar nahi karti hai to is ke sangeen nataij bar aamad hunge.

Police ne 2 muslim nojawanon ko giraftar karkay inhen raat bhar zair hirasat rakha. Bad azan, Muqami Masjid ki CCTV footage dekhe jaaane ke baad pata chala ke is waqeye mein ek muqami nojawan Miland mujrim tha. Is ny masjid mein ghus kar jhanda chori kiya aur Shankaracharya ke mujasmay par rakh diya. Darasal Miland BJP, RSS membar hai aur Jayaraj se is ke qareebi taluqaat hain.

Ilyas Mohammad Tumbe ney mazeed kaha ke SDPI ka mutalba hai ke Jayaraj ko giraftar kiya jana chahye aur police ko is saazish ke peechay ka maqsad aur is mein mulawis afraad ke baray mein bhi inkishaaf karna chahiye. BJP riyasat Reyasti wazeer-e-dakhla Basavaraj Bommai ney Bajrang Dal ke ek rehnuma aur BJP ke membar Sharan Pumpwell se kaha tha ke’ mein aap par dair tamam muqadmaat ko khatam kardoon ga, Ye is baat ka wazeh saboot hai ke reyasti hukoomat mujrimon ke sath mili hui hai. BJP riyasat wazeer-e-dakhla aur reyasti hukoomat ke zareya koi bhi aman ki tawaqqa nahi karsaktha hai kyunkay wo Sangh parivaar ki sazishon aur mujremana sar garmion ke sanje daari mein hain.

Ek sawal ke jawab mein SDPI reyasti sadar Ilyas Mohammad Tumbe nay kaha ke SDPI wazeer-e-dakhla ke khilaaf qanooni karwai ka sahara le gi jo khulay aam mujrimon ki himayat kar rahay hain. Bangaluru tashadud ke waqeat par ek sawal ka jawab dete hue Ilyas Mohammad Tumbe nay kaha ke SDPI Bangaluru ke Kaval Byrasandra mein pesh anay walay par tashadud waqeat ki shadeed muzammat karti hai. Naveen ka mujremana iradah aur police ki ghaflat is terhan ke nakhushgawaar waqeye ki asal wajohaat hain.

SDPI ka mutalba hai ke is muamlay mein reyasti hukoomat High Court Judges ke zariye ek adalti inquiry ka hukum day. Ye saaf zahir hai ke BJP nay aindah BBMP aur Assembly intikhabaat par nazar rakhtay hue tashadud ki saazish ki hai. BJP ka iradah hai peli Pulakeshi Nagar  halqa mein Muslim Dalit vote ko taqseem kiya jaye aur awam mein Adam tahaffuz peda karkay un ke voton ko apne taraf raghib kar sakay. Is ke ilawa muqami MLA aur party ke andar ek dharay ke mabain tanaza ki wajah se bhi tashadud mein izafah huwa hoga.

SDPI ye bhi mutalba karti hai ke un tamam zayon ki tafteesh ki jani chahiye taakay tashadud ke peechay sazishon ka inkishaaf hosakay. SDPI ke baray mein reyasti wazeer-e-dakhla ke bayanaat bhi qabil muzammat hain kyunkay unhoun ne ye alfaaz mutassabana zehniat ke sath kahe they.

Ye police aur hukoomat ke nakamiyoo ko chupaney aur logon ke zehnon ko modnay ki koshish ke siwa kuch nahi hai. SDPI aisay jamhoriat mukhalif iqdamaat ke khilaaf qanooni tor par laday gi. Press Conference mein reyasti naib sadar Abdal Majid Khan , Reyasti secretary Ashraf Machaar aur reyasti working committee rukan-o-media Coordinator  Abrar Ahmed mojood rahay.