New Delhi : Hukmuran jamaat Bharatiya janata party ( BJP ) ne jumeraat ke roz is waqt hungama kar diya, jab party ke tarjuman Sudesh Verma ne Sabarimala par Supreme Court ke faislay ke baad Loud speaker ke zareya ada ki jaanay wali ek Islami dua ”Azan “ ka maamla uthaya.
Verma ne kaha ke ”hukomat ko logoun ke jazbaat ka ehteram karna chahiye“. unhoun ne Media numaindoun se kaha ke”aap ko maloom hai, masjid se subah ki namaz ya Mics ki Decible level aawaz ke mukhtalif hukum hain. unhoun ne kaha ”agar chaye Azan may Decible satah par qawaid laago nahi ho satke hain, to khawateen ko Sabarimala mai dakhil nahi hona chahiye.
Jumeraat ko Supreme Court ne mandiroon, masjidoun aur deegar mazhabi maqamat par khawateen ke dakhelay ke muamlay ko 7 judges par mushtamil larger bench ke supurd kar diya. jis may justice Ranjan Gogoi, justice
Rohinton Fali Nariman, justice AM Khanwilkar, justice DY Chandrachud aur justice Indo Malhotra shamil hain. is douran bench ne kaha ke Sabarimala mandir may har umar ki khawateen ke dakhelay ke silsilay may pehle diye gaye faislay ko larger bench ka aakhri faisla anay tak bar qarar rakha gaya hai.
agar chay Verma ne is faislay ka kher muqaddam kiya, lekin unhoun ne nam liye baghair Jama masjid ke Shahi Emam par nishana saadha. Verma, Emam bukhari ka nam liye baghair 2001 may sarkari mulazmeen par hamla aur sarkari amlaak ko nuqsan pohanchane ke ilzamaat ka hawala de rahay they. BJP ne Sabarimala ke baray may mustaqil tor par kaha hai ke rivayet aur aqeday ka ehtram kiya jana chahiye aur inhen adalati dairay se dur rehna chahiye. lekin Verma Azan aur Imam bukhari ka hawala dete hue muamlay ko firqa waranah mourd dainay ki koshish ki.
yaha ye baat qabil ghor hai ke Babri Masjid Ram Janam Bhoomi ka mulk ka sab se qadeem maamla ka faisla 5 jajoun par mushtamil bench ne kiya tha, jabke Sabarimala mandir ke faisla ke liye, is maamla ko 7 jajoun par mushtamil larger bench ke supurd kiya gaya hai. Babri Masjid Ram Janam Bhoomi ke barsoun purane muamlay ka faisla 30 mintoun may kiya gaya, ab deikhna ye hai ke Sabarimala se mutaliq is maamla ka faisla kitne waqt may kiya jata hai.
-YTN STAFF