Friday, May 10, 2024
HomeIndiaBJP ne Assembly karwai ki nashriyat se Media ko rokk diya

BJP ne Assembly karwai ki nashriyat se Media ko rokk diya

Bangaloru: BJP hukoomat mein Media par pabandi ka silsila Coronavirus ki tara phail hai. Haal hi mein Malyalam ke 2 News Channels par pabandi laganay aur zabardast tanqeed ke baad faisla wapas lainay ke baad ab Karnataka mein BJP hukoomat ne taaza farmaan jari kiya hai. Tafseelaat ke mutabiq Karnataka mein BJP pi hukoomat ne Assembly ki karwai ke douran Media Courage par pabandi laga di hai.

Qabil zikar hai ke pehlay Assembly ki karwai ke douran Media Cameras par rokk lagi thi aur baad mein Assembly House, Aur phir aakhir mein Assembly Launch mein Media ke dakhlay par pabandi ayed kar di gayi hai. Media ko sirf Press Room mein anay ki ijazat hai.

Wazeh rahay ke aisa pehli martaba nahi huva hai jab Karnataka Assembly mein sahafioun par pabandi aed ki gayi ho. Is se pehlay 18 Feb ku Karnataka Assembly ke Speaker Vishweshwar Hegde Kageri ne Assembly mein sahafioun ke dakhlay par pabandi laganay ka aalamia jari kiya tha. Speaker ke daftar ke zareya jari aalamia ke mutabiq Electronic Media aur Print Media kisi bhi waqt Assembly mein daakhil nahi ho satke.

Aalamia mein kaha gaya tha ke arakeen Assembly ijlaas ke douran apne intikhabi halqa se ewaan mein atay hain. Ye un ka niji waqt hota hai jab wo wahan rehtay hain. Tab sahafi un se milnay ke liye Assembly House mein atay hain to ye un ki Privacy par hamla hai. Is se qabal 2019 mein Assembly Speaker ne khangi channels par ewaan ki karwai ke barah e raast nashriyat par rokk laganay ka hukum diya tha. –YTN STAFF