Monday, April 29, 2024
HomeIndiaBJP nay noujawanoun ko be rozgari ka tohfa diya

BJP nay noujawanoun ko be rozgari ka tohfa diya

Calcutta : Modi hukoomat jahan noujawanoun ko lubhaney ki koshish kar rahi hai wahein oppostion berozgari ko mauzo banatay hue hukoomat par shadeed tanqeed kar rahi hai aur aaye din koi na koi oppostion leader mulazimatoun ke zimn mein intikhabaat ki muhim ko garma raha hai. BJP ki zair-e-qayadat hukoomat ki sakht tanqeed karte hue shumali Dinajkepur  ke raye ganj mein Mamta banerjee nay kaha ke intikhabaat ke baad mrakaz mein hukoomat saazi mein Trinamoolcongress ahem kirdaar ada kere gi. bangal ke awam ki himayat aur aetmaad Trinamoolcongress ko haasil hai kyunkay hum zameeni satah par kaam karte hain aur aam logon ke liye jaddo jehed karne par yaqeen rakhtay hain .

Mamta Banerjee nay kaha ke bangal mein sirf Trinamool congress hi  BJP ko shikast day sakti hai, oppostion jamaaton ko badnaam karne ke liye BJP nay tamam markazi agencies ka ghalat istemaal kar rahi hai aur yeh bohat hi khatarnaak hai. BJP chahti hai ke tamam siyasi jamaten iski baladasti ko tasleem karlay lekin yeh jamhoriat aur yahan ke awam jamhoriat par yaqeen rakhtay hain woh kabhi bhi is tarha ki soch aur fikar par yaqeen nahi rakhti hai .

Mamta Banerjee nay kaha ke is waqt mulk  mein 20 million nojawan be rozgaar hogaye hain, markazi hukoomat ki ghalat policies ki wajah se rozgaar ke mawaqay kam ho rahay hain. bangal ki 42 nishistoun par hum sad feesad kamiyabi haasil karenge aur Modi baabu ke Hittler Shahi rawayya ko chalne nahi denge .

Mamta Banerjee nay kaha ke bangal mein sirf Trinamool congress hi BJP ka muqablah kar rahi hai. khawateen ke ilaaj ke liye hum paanch hazar crores rupay mukhtas kiye hain. markaz nay is fund may koi madad nahi ki hai. Modi hukoomat nay awam ke liye kuch bhi nahi kiya hai .

BJP is martaba EVM machine ki madad se kamyaab nahi hosakti hai. hum har ek votung machine ki nigrani karenge. VVPAT ke zareya har ek vote ki tasdeeq karenge .

Mamta Banerjee nay kaha kay hum markazi hukoomat ki tarha ameeron ke liye nahi balkay ghareebon ke liye kaam kiya hai. Mamta Banerjee nay kaha ke Pulwama mein badi tadaad mein noujawanoun ki mout hui hai lekin hamaray Wazeer e Azam jo apne aap ko chowkidaar kehte hain woh kiya kar rahay they .

BJP NRC aur shehri tarmeemi bill ki baat kar rahi hai lekin yeh kis ke liye hai? pehlay apne mulk  ke shehrion ko ghair mulki qarar diya jaye is ke baad inhen shehriat dainay ka amal shuru hoga. paanch saal tak apne mulk  mein campoun mein rehne par majbor kiya jayega. NRC  aur shehri tarmeemi bil ke naam par bangal ke awam ko bewaqoof nahi banaya ja sakta hai .- YTN STAFF