Wednesday, April 24, 2024
HomeSliderBJP Medak mein congress qaideen ko Raghib ki koshan

BJP Medak mein congress qaideen ko Raghib ki koshan

Hyderabad: Riyasat Telangana mein 2023 mein honay walay assembly intikhabaat mein Iqtidaar ke husool ke liye tufaan barpaa karne ke maqsad ke sath BJP Medak zila mein congress ke senior rehnumao ko apna muaqqaf mustahkam karne ke liye apni janib Raghib kar rahi hai taakay hkmran TRS par qaboo panay ke alawa ek mazboot qowat ki hesiyat se Ubhar sakay. Party ne Bandi sanjay ki qayadat mein greater hyderabad municiple coopration ( GHMC ) intikhabaat mein kamyabi ka zayeqa chakkha aur tab se woh nai taaqat ke sath badey harbe istemaal kar rahi hai aur nagarjuna sagar assembly zimni intikhab par is ki tawajah markooz hochuki hai.

Dubbaka zimni intikhab aur GHMC intikhabaat mein mutasir kin muzahiron aur kamyabi ke baad zafrani party urooj par hai. zila mein BJP apne markaz ko mazboot bananay ki koshishen kar rahi hai. Is ke ek hissay ke tor par party ne zila se talluq rakhnay walay congress qaideen aur kaarkunon ki hosla afzai ke liye operation aakrash ka aaghaz kiya hai. Doosri taraf, siyasi halqon mein pehlay hi yeh behas jari hai ke aaya zila mein mojood hay TRS ke arkaan assembly ka mukhtalif wajohaat ki binaa par ticket mileyga ya nahi.

Qaideen samait congress ke cadre mein bhi uljan ka shikaar nazar araha hai. BJP congress party ke dakhli jhagron ka faida uthana chahti hai. reyasti satah ke kuch rehnumao ne bhi BJP ka rukh kya hai. Medak ki sabiq rukan parliment vijayashanti jinhon ne haal hi mein congress ki muhim committee ke chairman ki hesiyat se khidmaat anjaam den unhon ne BJP mein shamoliat ikhtiyar karli hai. is ke sath hi aglay assembly intikhabaat mein party qayadat se nakhush aur party ke imkanaat par shak karne walay qaideen mobayyana tor par BJP par nigah daal rahay hain. Siddipet baldeati intikhabaat se qabal TRS aur BJP ek dosray ke sath sakht muqablay ke liye tayyar hain, taham wazeer-e-khazana tea harish rao ki sarbarahi mein TRS siddipet  mein BJP ko koi mauqa nahi dainay ki tayari kar raha hai, jo Dubbaka mein apni fatah ke baad hauslay buland mehsoos kar rahi hai. Is kamyabi ke baad ab BJP apni kamyabi ka silsila barqarar rakhnay ki koshish kar rahi hai jabkay hrish rao ki sarbarahi mein TRS ne kisi bhi qeemat per intekhabat jeetnay mein koi kasar nahi chodney ke mood mein hai.