Monday, May 20, 2024
HomeIndiaBJP leader Kuldeep Singh ko 10 saal ki qaid ki saza

BJP leader Kuldeep Singh ko 10 saal ki qaid ki saza

New Delhi: Unnao esmatraizi mutasirah ke waalid ki mout maamla par aaj Delhi waqay teez hazari Court ne sabiq BJP rukan Assembly Keldeep Singh Sengar ke khilaaf 10 saal qaid ki saza sunai hai. Sengar ke sath sath deegar 6 qusorwaroun ko bhi 10 saal Jail mein rakhnay ka hukum diya gaya hai. Sazae qaid ke alawa adalat ne Sengar aur un ke bhai Atul Singh Sengar par 10 lakh rupay ka jurmana bhi aed kiya hai jo bator harjana mutasirah ko diya jaye ga. Darasal teez hazari Court ne 4 March ko hi Sengar sameit 7 mulzemin ko qusurvaar thehraya tha aur faisla mehfooz rakh liya tha. Unnao mutasirah ke waalid ki mout 9 April 2018 ko Police hirasat mein huvi thi is liye qusorwaroun mein Uttar Pradesh ke kuch Police ohdedar bhi shaamil hain jinhen ab jail ki huva khaani pade gi.

Qabil zikar hai ke BJP se nikalay gaye rukan Assembly Kuldeep Singh Sengar ne kaha tha ke agar unhoun ne kuch ghalat kiya hai to unhein phansi par latka diya jana chahiye aur un ki aankhoun mein tezaab daal diya jana chahiye. Saza ki muddat par samaat ke douran Sengar ne khud hi apni baat rakhi thi aur adalat ne unhein Unnao mutasirah ke waalid ka ghair iradatan qatal ka mulzim thehraya. Halaank Sengar ne zila judge Dharmesh Sharma ke samnay daawa kiya ke mutasirah ke waalid ke qatal mein wo shaamil nahi hain.

 Wazeh rahay ke Unnao esmatraizi maamla mein Sengar ko guzashta saal 20 Decemeber ko hi ta hayaat qaid ki saza sunai gayi thi. Adalat ne kaha tha ke qudrati mout honay tak wo Jail mein rahen ge. Esmatraizi maamla mein phansnay ke baad jab BJP ki kaafi badnami honi shuru hogayi thi to Party ne unhein nikaalne ka elaan kar diya tha, Jis ke baad un par qanooni shikanja ziyada sakht hogaya tha. SBI ne mutasirah ke waalid ke ghair iradatan qatal maamla mein Sengar aur deegar ke liye ziyada se ziyada saza ka mutalba kiya tha. Qabil ghhor hai ke is muqadma mein 2 police ohdedar bhi shaamil hain jin mein Makhi Thana ke sabiq Incharge Ashok Singh aur sabiq Sub Inspector K.P Singh shaamil hain. Un ke alawa jin qusorwaroun ko 10 saal qaid ki saza sunai gayi hai un mein Vineet Mishra, Birendra Singh, Shashi Pratap Singh, Suman Singh aur Atul ( Sengar ke bhai ) ko tazirat Hind ki dafaa 120 B ( mujremana saazish ) ke tehat qasoorwar paaya tha. Is ke alawa bhi kayi daf-aat un qusorwaroun par lagaye gaye hain. Adalat ne shubhat ki bunyaad par faida dete huve Constable Aamir Khan, Shailendra Singh, Ram Sharan Singh aur Sharadveer Singh ko bari kar diya tha. –YTN STAFF