Dumka: Jharkhand ke reyasti congress committee ke sadar aur sabiq rukan-e-parliment Rameshwar rao ne ilzaam lagatay hue kaha hai ke riyasat ke chief minister Raghubar Das ki qiyadat mein BJP ki hukoomat guzashta 5 barsoun mein waadey poorey karne mein nakaam rahi hai is liye usay awam se vote mangnay ka koi ikhlaqi haq nahi hai.
Rameshwar ne yahan Dumca mein munaqqid conference mein riyasat ke chief minister Raghubar das ki qayadat wali BJP hukoomat ko tanqeed ka nishana banatay hue kaha ke Raghubar das ne April 2018 tak waha ke sabhi ilaqon mein 24 ghantay bijli faraham nahi karne par vote na mangnay ka elaan kiya tha lekin is ilaqay mein kabhi bhi 16.15 ghantay bijli muhayya karana mumkin nahi hopaya hai. sabiq elanaat ko poora nahi kar pane ki bunyaad par das ko awam se do-barah vote mangnay ka akhlaqi haq nahi hai.
Reyasti sadar ne kaha ke jharkhand ki tashkeel ke 19 barsoun ke douran taqreeban 16 barsoun tak riyasat mein BJP ki hukoomat rahi hai lekin santal pargana sameit riyasat ke mukhtalif ilaqon ke log taleem, sehat, sadak, rozgaar, peenay ke pani nahi milnay ki masail se do-char hain. hukoomat awam ko un masail se raahat dilanay mein poori tarhan nakaam hai. Rameshwar ne kaha ke poora mulk muashi bohraan ke daur se guzar raha hai. bohraan ki wajah se jo ghar kabhi khushaal tha aaj woh ghar bad haal hai. reyasti saddar ne kaha ke asar Nami idaara ki survey report ke mutabiq taleem ke muamlay mein jharkhand sab se nichle maqam par aagaya hai jo riyasat ki taraqqi ke daawa ki poll khol raha hai.
Unhon ne riyasat mein is saal honay walay assembly intikhabaat mein BJP ko roknay ke liye oppostion ki tayario ka zikar karte hue kaha ke congress ki qayadat BJP ki awam mukhalif hukoomat ko khada pheinknay ke liye Mahagath-bandhan mein shaamil partiyon ke sath muttahid hai. Rameshwar ne kaha ke congress aaney walay assembly intikhabaat mein Mahagathbandhan mein shaamil partiyon ke sath mil kar poori mazbooti se intikhabi maidan mein utregi. unhon ne nishston ki taqseem se mutaliq puchye gaye sawal ke jawab mein mein kaha ke sabhi partiyon ke sath nishiston ki taal meil par ghor-wo-fikar kiya ja raha hai. congress aala kamaan ke sath sabhi partiyon ke ahem leadron ke sath aapsi razamandi aur ghor-o-fikar ke baad faisla kiya gaya hai. siton ki taqseem se talluq se fil haal koi adad wo shumaar faraham karne se inkaar karte hue kaha ke waqt anay par is ki tafseelaat faraham kardi jayengi. –YTN STAFF