New Delhi: Delhi intikhabaat mein musalmanoun ki kiya hikmat e amli hogi is par saari duniya ki nazrain hain aur Delhi ke Muslim Voters jantay hain ke Polarizes mahol mein, BJP aur Congress ke sath AAP maidan mein mojood hai aur Muslim Voters sah rukhi muqaabla ke khatraat se poori terhan waaqif hain. Dar-ul-hukoomat Delhi ke 25 lakh musalman jo BJP ko rokna chahtay hain wo jantay hain ke inhen AAP aur Congress ke darmain intikhab karna hai.
Shumal mashriqi Delhi ke Mustafaabad se talluq rakhnay walay 70 sala Mohammad Tehseen ka kehna hai ke sab ka apna rujhan hota hai lekin lehar AAP ke liye hai. Unhoun ne kaha ke guzashta Lok Sabha intikhabaat sameit poori zindagi Congress ko vote diya, Lekin is martaba aksariyat AAP ko vote day rahi hai. Unhoun ne kaha, Voting booth par ungli dhamka ke jati hai intikhab karna mushkil nahi hai aur is ke barey mein wazeh faisla lena zurori hai.
Motorcycle par sawaar 2 ladke Congress ke liye onche aawaz mein boltay hain, Is baat ki nishandahi karte hain ke umeed waar ke waalid Hassan Ahmed ne ye sadkain aur qareebi qabrustan banwaya tha aur sakht mehnat ki thi. Lekin wo ye bhi aitraaf karte hain ke wo shayad apne ghar waloun ko AAP ko vote dainay ke liye raazi karen ge taakay baradri ka vote ek tarfah ho sakay. Pichli baar BJP ne is halqay mein 58,338 votoun ke sath kamyabi haasil ki thi chunkay Congress ko 52,357 aur AAP ko 49,791 vote miley they aur votoun takseem hogayi thi jis se BJP ko kamyabi mili thi. Muslim votoroun ke liye ye bhi mushkil kaam hai kyunkay Congress ne CAA NRC muzahmat aur police ki zayadtion mein musalmanoun ke difaa ke liye koshishn ki jabkay AAP ne is muamlay par baday pemanay par wazeh muaqqaf ikhtiyar nahi kiya hai.
Haliya tashadud ka ek markaz Jamia Millia Islamia ke qareeb Batla House Chowk mein bhi AAP ke liye ziyada himayat haasil hai jabkay Congress ke haami Naseem Ahmed ne daawa kiya hai ke un ke umeed waar Parvez Hashmi ne yahan se kabhi Election nahi haara hai aur is ilaqay ki taamer ke liye beshtar kaam anjaam diye hain. Unhoun ne kaha ke 2015 ke intikhabaat mein, Jab AAP ne kamyabi haasil ki thi, To ye sab aakhri 3 din mein faisla kiya gaya tha aur pansa palat gaya. Is baar agarchay wazeh tor par Arvind Kejriwal ke sath hai.
GST aur badhatay hue akhrajaat ki wajah se un mein se bohat se loog 30 saal puranay steal mann gharat kaarobar mein kaam karte they. CAA NRC ke khilaaf ehtijaj ke mauqa par Jamia Masjid ki sedikhoun par baithy 34 sala Nida ( jo apne akri naam batana nahi chahti hain ) unhoun ne kaha hai ke Mitya mehal ko jhadoo saaf kardey gi mein ye 98 feesad aetmaad ke sath keh sakti hon.
AAP ke umeed waar Shoiab Iqbal ne hamesha Congress se kamyabi haasil ki hai aur party ke mukhtalif banners ke tehat har intikhabaat ( pichlle siwaye ) jeetay hain. Taham un ki beti kehti hain mere waalid kattar cogressi hain lekin yahan tak ke wo bhi samajte hain kyun ke is baar vote zaya karen is liye shayad AAP ke haq mein vote istemaal kiya jaye ga.
Qareebi Balmeran mein AAP ke MLA aur wazeer Imran Hussain ju ek tajir hain aur party mein shaamil honay se qabal azad councillor they, Numaya tor par maqbool hain. Is ka daftar Aadhaar Cards, Ration cards, zaat paat ke Certificate aur deegar kaghazi karwaiyoun, Hospital ke hawala jaat waghera ko sambhaalta hai. Unhoun ne kaha hai ke hamaray yahan rozana 300 se 400 afraad atay hain aur amlay ke 10 afraad shaamil hain. Darin asna Congress ke umeed waar Haroon Yousuf ( sabiq wazeer aur party ke naamwar leader Ballimaran se 5 martaba muntakhib hue hain ) Inka muhallay mein daftar tak nahi hai, AAP ke councillor Mohammad Sadiq ka daawa hai ke un ki maqboliat ke bawajood yahan se bhi Muslim vote AAP ke haq mein hi jayen ge
Alawa azeen unhoun ne BJP ki Polarization muhim ko mustard kardiya hai. Unhoun ne kaha hai ke Delhi Hindustan ka dil hai. Pooray mulk se tamam mazahab aur zaat aur pas manzar ke loog yahan rehtay hain. Mazhab aur zaat ke ye mamlaat Delhi par asar nahi daaltay, Jo ahem mamlaat hain. AAP ke raza karoun ka daawa hai ke unhoun ne 100 boril banaye hain aur is ilaqay mein 80 feesad sewarej Network ko tabdeel kiya hai. Qareeb hi ek mohalla cilinic hai aur 3 school taamer ho rahay hain. Borel kaam ka aaghaz Haroon Yousuf se huva.
Mohammad Ali jo Balmeran dukaan chillatay hain unhoun ne Lok Sabha intikhabaat ka wazeh farq zahrkiya hai. Unhoun ne kaha ke Delhi mein baday androoni aur bain ul aqwami masail ahem hain aur ye jo khidmat ki farahmi galiyoun aur khodoun, Pani aur Bijli, Schooling aur sehat ke baarey mein hai un par awam ki nazrain hain. Unhoun ne mazeed kaha hai ke AAP ne tamam mahazoun par sakht mehnat ki hai. Mitya mehal ke municiple school mein ek teacher Najma ne kaha hai ke aqliati talba ke liye Fees maaf kardi gayi hai jo Income Certificate tayyar faraham kar saktay hain.
Bohat se voters ke liye ye sirf Lok Sabha aur Rajya Sabha ke darmiyan hikmat e amli ka intikhab nahi hai balkay awam ko AAP ke kamoun se haqeeqi itminan haasil hai. Awam ne kaha hai ke bijli aur pani ke biloun ko maaf karne ka matlab ghareeboun ke liye Flayover tamirati kaam jaisay mukammal taraqqi se ziyada ahem hai jis ki Sheila Dikshit baat karti thi.
Ek Auto Driver Zameer Ahmed ne kaha hai ke mein bijli ke liye 1000 se 1200 ka bijli bill ada karta tha aur kabhi pani ke liye 2500 se 3000 rupay ada karta tha liken ab mujh par ye boojh nahi hai. Is ke alawa mein apne Auto ke liye JPS SIm bhi muft haasil ki ghareeb awam ke liye ye hi to asal masail hain jo hal ho chukay hain. Aisi hazaroun misalein mojood hain jo kay AAP ke haq mein apne rujhanaat ko zahir kar rahi hain. –YTN STAFF