Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaBJP ko ab dakhli baghaawat ka saamna

BJP ko ab dakhli baghaawat ka saamna

Hyderabad: Hindustan is waqt jis be cheeni ke mahol se guzarraha hai wo sab par ayaan hai, Hindustan ke andar hi nahi balkay saari duniya ki nazrain Hindustan ke dakhli halaat par tiki hui hain kyunkay BJP hukoomat ne kalay qanoon shehriat tarmeemi qanoon ko nafiz karne ke ilawa awam ke sakht ehtijaj ke bawajood is par amal aawri ke liye bazid hai. Shehriat tarmeemi qanoon ke khilaaf jamiyaat ke talba ne jo ehtijaj shuru kiya hai wo batadreej Hindustan ki aawaz ban chuka hai aur aeye din ehtijaj karne walay tabqo aur jamaatoun mein izafah hi hota ja raha hai aur ab assaar ye bhi deekhaee day rahay hain khud BJP mein is kalay qanoon ki wajah se baghaawat horahee hai.

Shehriat tarmeemi qanoon aur NRC ki wajah se BJP ke andar bhi ek hungama barpaa hai. Abhi ziyada din nahi hue hain jab Madhya Pradesh BJP aqliati sale ke takreeban 4 darjan arakeen ne apni narazgi zahir karte hue party istifa day diya tha aur ab media zaraye mein aa rahi khabroun ke mutabiq 80 se zayed BJP leadroun ne party ko kher baad keh diya hai. Jin leadroun ne BJP ko kher baad keh diya unhoun ne kaha hai ke ab BJP sab ki party nahi rahi, Is liye judday rehna mumkin nahi.

Bataya ja raha hai ke Madhya Pradesh BJP aqliati sale mein shehriat qanoon ki wajah se ek hungami haalat dekhne ko mil rahi hai. Is qanoon ki wajah se aqliati sale ke lidran mein ek be cheeni bohat pehlay se dekhne ko mil rahi thi jis ka nateeja ye huva ke 22 January ko Indur, Mewa, Diwas aur karkunoun waghera se talluq rakhne walay BJP aqliati sale ke darjanoun ohdedaroun ne istifa day diya. BJP ko ’Alvidah’ kehne walay un lidran o karkunaan ne kaha hai ke is mulk mein Hindu Muslim maslay ka khatama hona chahiye, Lekin ek ke baad ek masla samne atay ja rahay hain jis ki wajah se maeeshat aur rozgaar jaisay masail aur mozuaat peechay chhotte chalay ja rahay hain.

BJP chodne walay lidran ne media ke samne apni baat rakhtay hue kaha ke mojooda mahol mein mulk mein tafreeq har taraf dekhne ko mil rahi hai. Kashmir se dafaa 370 hataya gaya to hum logoun ne kaha ke acchaa huva, Ham is ke haq mein they ke ab Kashmir mein hum bhi ja kar reh satke hain. 3 Talaq khatam huva tab bhi hum ne koi hindu muslim nahi kiya aur is faislay ka istakbaal kiya. Babri Masjid ke faislay mein bhi mana ke mandir ke sath masjid ko bhi jagah di ja rahi hai lekin sawal yahi hai ke is mulk mein hindu muslim kab tak chalay ga. Is mauzo par ek masla khatam hota hai to dosra khada ho jata hai. Rozana naee naee mozuaat samne laa ye jatay hain.

BJP aqliati sale se istifa daine walay ohdedaroun ne is waqt mulk ki muashi haalat ka tazkara karte hue kaha ke hamein is waqt hindu muslim tafreeq peda karne ki jagah mulk ki maeeshat behter karne aur rozgaar peda karne ke baray mein baat karni chahiye. Is waqt mulk ki taraqqi ki baat honi chahiye. Naraaz mustafi leadroun ne BJP mein baday ohdoun par faiz leadroun ke tareeqakar par bhi mayoosi ka izhaar kiya aur kaha ke hum shehriat qanoon ki mukhalifat karte hain aur mujawaza NRC ke sath hi NPR ki bhi mukhalifat karen ge

Ye pehla mauqa nahi hai ke BJP mein baghaawat hui ho kyunkay is se qabal 11 January ko Bhopal BJP aqliati sale ke 48 arakeen ne shehriat qanoon ke khilaaf bator ehtijaj istifa day diya tha. Jin 48 arakeen ne party se istifa diya tha un mein aqliati sale ke naib sadar Adil Khan bhi shaamil they. Unhoun ne shehriat tarmeemi qanoon aur mujawaza NRC ki mukhalifat mein 11 January ko istifa diya aur phir Modi hukoomat ko tanqeed ka nishana banatay hue media se pocha ke kiya aap ne kabhi kisi aisi hukoomat ko dekha hai jis ne parliament mein qanoon manzoor karne ke baad is ke liye ghar ghar ja kar himayat mangi?“ Party chodne walay arakeen ne BJP reyasti aqliati sale ke sadar ko apna istifa nama sompye huve likha hai ke party Shyam Prasad Mukherjee aur Atal Bihari Vajpayee ke usooloun par amal karti hai, Lekin unhoun ne kisi ke sath tafreeq nahi kiya aur aqlitoun sameit sabhi ko apne sath le kar chalay they.

Party chodne walay leadroun ne ye bhi ilzaam lagaya tha ke party mai koe jamhoriat baqi nahi rahi aur sath hi ye bhi kaha ke poori party 2 se 3 logoun ke bharoosay chode di gayi hai jo nuqsaan da saabit hogi. Halaank BJP ne un ilzamaat ki tardeed ki aur congress o communist partiyoun par unhein gumraah karne ka ilzaam aed kiya. BJP leader Gopal Bhargava ne 48 BJP karkunaan ke istifa ke talluq se apna radd amal zahir karte hue kaha ke hamaray karkunaan ko gumraah kiya gaya hai jo is maslay ko theek se nahi samjhtae hain. Dilchasp baat ye hai ke agar BJP apne karkunaan ko hi shehriat qanoon se mutaliq sahih cheez samajhane mein nakaam ho rahi hai to phir aakhir wo ghar ghar ja kar aam logoun ko kaisay samjha payen ge. Sach to ye hai ke BJP ke paas shehriat qanoon ke mutaliq poochay ja rahay sawal ka jawab hi nahi hai aur yahi wajah hai ke BJP lidran o karkunaan danishwer tabqa se is silsilay mein behas o mobahisa se parez kar rahay hain. –YTN STAFF