Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaBJP ke sath ittehaad par mehbooba mufti ko Pachtava

BJP ke sath ittehaad par mehbooba mufti ko Pachtava

Srinagar: PDP sadar aur sabiq chief minister Mehbooba Mufti nay kaha hai ke BJP ke sath haath milana hamaray liye zeher ka pyalaa peenay ke barabar tha .

junoobi Kashmir ke zila kolgam mein party kaarkunoun ke ek jalsay se khitaab karte hue Mehbooba Mufti nay kaha BJP ke sath hath milana hamaray liye zeher ka pyalaa peenay ke barabar tha lekin hum nay aisa sirf awam ki behbodi ke liye kiya. Modi aaj Vajpayee ke formula kashmiri, jamhoriat aur insaaniyat ko hi masail ke hal ka rasta qarar dete hain lekin yeh sab bate agenda of alliance mein darj thi jo unhon nay nahi maani .

Mufti Sayeed ke intqaal ke baad hukoomat bananay mein teen mah ka waqt lagnay par baat karte hue Mehbooba nay kaha mujhe BJP ke sath hukoomat bananay mein teen mah lag gaye kyunkay mein unse kuch cheeze haasil karna chahti theen lekin party ke kuch leadron jo markaz ke paas gaye aur inhe kaha ke hum haath milaane ke liye tayyar hain, nay mujhe dobarah haath milaane par majaboor kiya, mujhe aap logon ki hi fikar thi .

mere daure-e-hukoomat mein halaat ko kharab karne ke liye sazishain ki gayeen warna aaj bhi tassadum aarayyan horahee hain lekin sang baari nahi hoti hai aur naa hi police thano ko Nazar aatish kiya jata hai .

Mehbooba mufti nay jamaat-e-islami par pabandi aur noujawanon ki giraftari ke hawalay se kaha BJP mujhe jamaat-e-islami par pabandi aed karne ko kehti thi, woh kehte they ke saal 2016 ki agitation ke peechay un hi ke haath  hain lekin mein nay kaha ke mere paas iska koi saboot nahi hai. aaj jo yeh nojawanon aur aalmon ki giraftariyan jari hai na tassadum aarayyon ke douran makanoun ko udaya jata hai aur laashon ko maskh kiya jata hai, LoC aar paar muzafarabad tijarat ko band kiya gaya aur qaumi shahrah par haftay mein do din awaami traffic ki naqal vehmal par pabandi aed ki gayi, mein nay apne daur-e-hukoomat mein un cheezon ki ijazat nahi di .

Mehbooba nay kaha ke mein nay hurriyaat ke sath baat cheet karne ke liye arakeen parliman ko yahan laya. Dineshwar sharmaa ko mazakraat kar ki hesiyat se yahan laya lekin hurriyaat walon nay unke liye darwazay nahi khole to is mein mer kiya qasoor hai .

Kathua ismat darri wo qatal muqadma mein ek taraf poora hindustan tha aur doosri taraf mein akele apni is masoom bachi ko insaaf dilwanay ke liye khadi thi. Qabil-e-zikar hai ke Anant Nag parlimani halqay ke dosray marhalay ki raye dahi ke tehat zila kulgam mein 29 April ko vote daaley jayenge .– YTN STAFF