Sunday, May 19, 2024
HomeSliderBJP ke rukan-e-assembly ne mandir ke sutunoun par KCR ki tasweer ke...

BJP ke rukan-e-assembly ne mandir ke sutunoun par KCR ki tasweer ke khilaaf diya intibah

Hyderabad : Riyasat-e-Telangana mein BJP ke akailey rukan-e-assembly Raja singh ne haftay ke roz intibah diya ke agar ek hafta ke andar wazeer-e-aala K.Chandra shekhar rao aur deegar siyasat daanoun ki kunda tasaveer ko Yadadri mandir ke sutunoun se nahi hataya gaya, to nataij ki hukoomat zimmedaar hogi.

BJP ke rukan assembly ne Yadadri ke sri laxmi narsmiha mandir ka doura kiya aur Telangana Rashtriya samithi ( TRS) ko ultimatum  jari kiya.

Unhon ne kaha ke mandir ke sutunoun par banai gayi KCR, sabiq wazraye aazam Indra Gandhi, Rajiv Gandhi, deegar siyasat danoun ki tasaveer aur TRS party ka nishaan ”car“ ki tasweer ko ek hafta ke andar nahi hataya gaya, to mulk bhar ke aqeedat mand Yadadri pahonch jayenge aur nataij ki hukoomat zimmedaar hogi.

Raja singh ki is dhamki ke baad police ne mazkoorah mandir ke aas paas security sakht kardi hai aur congress rehnumao ki ek rally ko pahadi ke maqam ki taraf jaane se rok diya hai. BJP ke reyasti chief DR Laxman ne hyderabad mein sahafion se baat karte hue bataya ke ”KCR ke tashhiri iqdaam ne hinduoun ke mazhabi jazbaat majrooh kiya hai. unhon ne kaha ke hukoomat ko iski qeemat chukani padegi.

Wazeh hoke jummay ke roz Social media par mandir ke sutunoun par naqsh wo nigaar ki tasaveer aur videos viral huien theen. jis par opposition jamaaton ne aiteraaz jataayaa hai, unhon ne ilzaam lagaya hai ke KCR khud ko bhaghwan ke tor par paish karne ki koshish kar rahay hain.

Chand hindu grohoun ne bhi is iqdaam par ehtijaj kiya. Yadadri temple development authority ( YTDA ), jiske, KCR chairman hain, ne jummay ko, mandir ke berooni hissay par naqsh wo nigaar wo tasaweer ka aiteraaf kiya.

YTDA ke wise chairman aur Chief Executive Officer G. Kishan Rao ne kaha ke KCR ki tasaveer, khud mujasma sazoun ne kunda kiye hain, inhen koyi Hidayat nahi di gayi thi. unhon ne kaha ke agar KCR ki tasweer qabil-e-aiteraaz hai to hum usay nikaal denge.

Sutunoun par naqsh ki gayeen deegar tasaveer mein Mahatma Gandhi, sabiq wazraye aazam Jawaharlal nehru, Indra Gandhi aur Rajiv gandhi, Telangana hukoomat ka nishaan Ashok Chakra, Charminar , Kakatiya, ke alawa TRS ka nishaan’ car’ aur bail gaadi, cycle rickshaw aur cycle ki tasaweer bhi shami hain.

Sri laxmi narsmiha swami mandir riyasat ki sab se badi mandir hai, aur usay aksar Telangana ka Tirupathi bhi kaha jata hai. Riyasat-e-Telangana ki tashkeel ke baad, KCR ne Yadgirigutta ko Yadadri ke naam se mousoom kiya aur 1,800 crore ki laagat se pahadi mandir ki taraqqi ke mega project ka elaan kiya tha. –YTN STAFF