Thursday, May 2, 2024
HomeHyderabadBJP ke MLA Raja Singh par Facebook nay pabandi ayed kar di

BJP ke MLA Raja Singh par Facebook nay pabandi ayed kar di

Maqbool Social Media Platform par nafrat angaiz taqareer ke paighamaat par tanaza mein mulawis honay ke baad rukan Assembly Gosha Mehal MLA Raja Singh par Facebook nay pabandi ayed kar di hai.

Facebook nay ilzamaat ki bunyaad par BJP ke rehnuma Raja Singh par pabandi ayed kar di hai ke Social Media par nafrat angaiz taqareer ka platform nahi hai, Tarjuman nay mazeed kaha ke Bhartia Janta Party ke is seyasatdan par nafrat aur tashadud ko badhahwa dainay walay taqreer se mutaliq Facebook ki policy ki khilaaf warzi karne par pabandi ki gayi hai.

Facebook ki “khatrank afraad aur tanzeemon ki policies” ke tehat BJP ke rehnuma Raja Singh par pabandi ayed ki gayi hai, Aur nah hi inhen Instagram par apni mojoodgi barqarar rakhnay ki ijazat hogi.

Guzashta mah apne Twitter Account par MLA Raja Singh ne daawa kiya tha ke un ke paas koi official Facebook page nahi hai, Aur unhoun ne kaha ke bohat se Facebook pages un ke naam par istemaal kiye ja rahen hain. Aur unhoun ne yeh bhi wazeh kiya ke un ka koi official page nahi hai, Aur woh kisi bhi qisam ki tasweer ya video post ke zimma daar nahi hai.

Raja Singh ney apni jari kardah video pegham mein kaha ke “Telangana ke reyasti intikhabaat ke baad 2018 mein sharpasandon ney un ka official Facebook Account Block karliya tha”. Taham un ke naam par mutadid Facebook pages chaltay rahay, Jin mein se 5 par Facebook ney pabandi ayed kar di hai, Jis mein taqreeban 3 lakh Followers they.

Budh 2 September ko munaqidah parliamani committee ke ijlaas mein Congress ke rehnuma Shashi Tharoor ney Hindostan Facebook ke sarbarah ko aagah kiya tha ke, BJP qaeden ke zariye nafrat angaiz taqreer ke mawaad ko nah lainay par talabb kiya tha.

Guzashta mah apne Twitter Account par Bhartia Janata Party ke rukan Assembly Raja Singh nay yeh daawa kiya tha ke un ke paas koi bhi Facebook Official Page nahi hai aur bohat saaray Facebook Pages un ke naam par par istemaal kiye jatay hain, Unhoun nay mazeed kaha ke woh kisi bhi post ke liye zimma daar nahi hai.

Is report mein kaha gaya tha ke Telangana ke MLA apne Facebook Account ke zariye Islam ke mukhalif nazriaat, Jaisay Rohingya Musalmanoon par tanqeed karne ke farogh ko istemaal kiya jata hai.

Taham is Report ki eshaat ke foran baad hi MLA Raja Singh nay awaami satah par un tamam ilzamaat ki tardeed kar di, Yeh batatay huve ke un ke paas koi official Facebook Page nahi hain aur kaha ke un ki kisi bhi post par fasadaat ya firqa waranah inteshaar peda nahi huwa hai.