Monday, April 21, 2025
HomeIndiaBJP ke liye riyasat mein koi jagah nahi : Uttam kumar Reddy

BJP ke liye riyasat mein koi jagah nahi : Uttam kumar Reddy

Hyderabad : Telangana pradesh congress committee ke Sadar Uttam  kumar Reddy  ne itwaar ko kaha ke riyasat mein zafrani party ke liye koi jagah nahi hai. unhoun ne kaha ke BJP ne riyasat mein haliya munaqqid hue intikhabaat mein sirf 7 feesad vote haasil kiye hain .

Uttam kumar ne kaha ke BJP ke rehnuma riyasat mein sirf chaar parlimani halqoun mein fatah ke baad badey khawab dekh rahay hain. Uttam  kumar Reddy  ne saaf tor par yeh wazeh kar diya ke riyasat mein congress party mazboot hai.

Unhoun ne kaha ke Riyasat mein BC tabqe ki abadi ki bunyaad par tahaffuzaat diya jana chahiye. reyasti hukoomat ke intikhabaat ko ghair mustaqeem tareeqa se munaqqid karne ke faisla par tabsarah karte hue unhoun ne kaha ke ghair mustaqeem tareeqa se intikhabaat ka nazam riyasat mein siyasi kharabion ko farogh dainay ke alawa kuch nahi hai.

Uttam kumar Reddy ne kaha ke congress party municipal intikhabaat mein bhaari kamyabi darj karegi. –YTN STAFF