New Delhi : Bharatiya Janata Party ne lok sabha intikhabaat ke liye aaj apna intikhabi manshoor jari kar diya hai. ‘ Sankalp Patar’ ‘ naam se jaari kiye gaye manshoor ki ajrayi ke mauqe per Party head quarter mein wazeer-e-aazam Narendra Modi , BJP ke qaumi sadar Amit Shah , Rajnath Singh sameit party ke senior Leaders moujood they.
Manshoor mein BJP ki janib se mulk ke har ek tabqay ke liye waday kiye gaye hain. sath hi is mein shehriat tarmeemi bill ko parliment se Manzoor karanay, qaumi salamti ke liye koyi samjhota nah karne, dehshat gardi par’ ‘zero tolerance’ ‘ ki policy jari rakhnay aur khushgawar mahol mein Ram mandir ki taamer ka zikar kiya gaya hai. is mein kisanoun aur chotey karobariyon ke liye kayi aalanat kiye gaye hain .
BJP ne kisanon ko ek laakh rupiye taq ka qarz paanch saal ke liye bilaa sood dene ka wada kiya hai. iske sath hi kisanon ke liye 60 saal ki Umar ke baad pension dene ka wada kiya hai. aur tamam ke liye paanch kilo meter ke daayre mein banking sahoolat faraham karne, tibbi sahoolat aur taleem ki towsee ke liye mulk mein 75 naye medical college qaim karne ka iradah zahir kya hai. aur aindah paanch saloun ke douran dehi ilaaqoun ki taraqqi par 25 laakh rupiye kharch karne ka wada bhi kiya gaya hai .- YTN STAFF