New Delhi: Social Democratic Party of India ( SDPI ) ne BJP hukoomat ki taraf se mojooda qawaneen mein tabdeeli karne ke zimma daari ke sath 5 members committee tashkeel diye jaanay ki sakht muzammat karte hue Modi hukoomat ki taraf se 4 May 2020 ko tashkeel di gayi 5 rukni islahi committee jis ko tazeerat hind ( IPC ), Majmoa zabita fouj daari ( Criminal Procedure Code ) aur qanoon shahadat hind (ndian Evidence Act) mein tabdeeli karne ke liye 6 mah mein Report talabb ki gayi hai is committee ko fori tor par khatam karne ka mutalba kiya hai. SDPI ka maanna hai ke committee mein ziyada tar Members National Law Universition se talluq rakhtay hain jis se is amal mein wasee aur munsifana numaindagi nahi hogi.
Is zimn mein SDPI qaumi naib sadar Advocate Sharifuddin Ahmed ny apne akhbaari bayan mein kaha hai ke SDPI BJP hukoomat ke mazmoom koshisho par mulk ko mutnabba karna chahti hai ke BJP hukoomat tamam jamhoori idaron ko kamzor aur nuqsaan pohanchanay ki poori koshish kar rahi. BJP hukoomat ny law commission of India ko apna taaza tareen hadaf banaya hai. Khud Modi sarkar ke zareya tashkeel diye gaye 22 we law commission ko nazar andaaz karkay hukoomat ny ghair zurori tor par allag se 5 members ki committee tashkeel di hai. Committee ke sharait aur hawala jaat shafaaf nahi hain aur members ke intikhab ka tareeqakar bhi mabham hai jahan kisi bhi namoor maher qanoon ya retired Judges ko mazkoorah committee ka member nahi banaya gaya hai. Committee mein hukmaran jamaat ke nazriye ke peirokaar hain aur SC, ST, Aqliton, Trade Union, Kisanon, Ghair munazzam sector ke Transgenders Group, Khawateen, Mazoron ke huqooq Groups waghera se nah hi ko yi rukan shaamil hai aur nah hi khaas tor par un ki raye talabb ki gayi hai. Bar Consul, Bar Association waghera ka bhi yahi haal hai.
Committee ke qawaid-o-zawabit ko tay karne ke liye koi shafaaf mushawarat nahi ki gayi hai aur hukoomat jald baazi mein IPC, CRPC aur IEA mein tabdeeli lana chahti hai. Ye qawaneen 2 sadiyon ke arsa mein taweel amal ke baad tayyar hue hain. Hukoomat tamam mutaliqen se mashwara kiye baghair aur logon aur un ke numaindon ke liye mauqa faraham kiye baghair jald baazi mein qawaneen ko tabdeel karna chahti hai jo mujawaza tabdeelion se mutasir hunge . SDPI ka pukhta yaqeen hai ke tabdeelion ko mohtaat aur wasee pemanay par ghhor-o-fikar karne ki zaroorat hai, Khaas tor par aisay waqt mein jab mulk aalmi wabaa ke asar mein hai jahan adaltin baa-mushkil hi kaam kar rahi hain, Mamool samaat moattal rakhi jarahi hain aur muntakhib muqadmaat mein majazi samaat jari hai. Is sorat-e-haal mein committee ke tashkeel ka waqt aur 6 mah ke andar committee ke kaam ko khatam karne ki jald baazi ko naik niyati se dekha nahi ja sakta hai. Delhi mein honay walay haliya tashadud ke waqeat ke pesh-e-nazar qawaneen mein tabdeeli ka hukoomat ka iradah mashkook hai.
Aisa lagta hai ke hukoomat hirasat mein mulzim shakhs ke aitraaf ko qanooni aur saza ki wahid bunyaad qarar day kar mojooda qawaneen ke umomi usoolon ko ulta pherna chahti hai aur isi liye itni jald baazi ki jarahi hai. Jald baazi, Shafafiat aur awam se mashwara kiye baghair qanoon mein islahat laane se adalti nizaam ki bunyadi ikhlaqiaat ko nuqsaan puhanche ga. Fouj daari qawaneen ko tabdeel karne ka amal mukammal to par ghair jamhori, Ghair shafaaf aur qaim shuda tareeqakar se balatar hai. Ye sach hai ke mojooda qawaneen ko mulk ke jamhoori nizaam ke sath ziyada mawafiq hona chahiye, Lekin wabai bemari ke is daur mein jald baazi is shubhay ko janam deti hai ke is amal ke peechay ek darparda maqsad hai aur is ka maqsad Hindustani muashray ko darpesh masail ko dayanatdari se samajhney aur hal karne ke bajaye qawaneen mein kuch pehlay se tey shuda tabdeelian anjaam dena hai. SDPI par zor mutalba karti hai ke fouj daari qawaneen mein islahat laane ke liye hukoomat ki taraf se 4 May 2020 ko notify ki gayi committee ko khatam kiya jaye aur mojooda amal ko fori tor moattal kardiya jaye.
Jab taq adalti nizaam mamool ka kaam shuru nahi karta hai aur awaami jalson ki ijazat nahi di jati hai is waqt tak wabai marz ke douran qawaneen mein koi ahem tabdeelian nahi ki jani chahiye. SDPI ye bhi mutalba karti hai ke Law Commission Of India ko tareeqakar aur mulk ke raaj qanoon ke mutabiq fouj daari qawaneen mein islahat ki zimma daari sonpi jaye, Aur is amal ke douran muashray ke mukhtalif tabqaat khusoosan pasmandah aur ghair mara-aat yafta groups ko munasib numaindagi faraham ki jaye.