Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaBJP apni nakamiyoun ki parda poshi ke liye musalmanoun ko qurbani ka...

BJP apni nakamiyoun ki parda poshi ke liye musalmanoun ko qurbani ka bakra bana rahi: Markandey Katju

Hyderabad: Shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ke khilaaf mulk bhar mein muzahirey ho rahay hain aur kayi ilaqoun mein dafaa 144 nafiz kardi gayi hai. Hindustan ke dar-ul-hukoomat Delhi mein bhi mutadid maqamat par mobile khidmaat band kar di gayi hai aur loog hukoomat ke tai narazgi ka izhaar kar rahay hain. Supreme court ke sabiq judge Justice Markandey Katju ne bhi is par sakht barhami ka izhaar kiya hai. Markandey Katju ne likha, crordoun  Hindustani musalmanoun ke liye buray din aa rahay hain kyun ke BJP ko apni tamam tar nakamiyoun ko chupaney ke liye ye bahana dhoonda hai aur musalmanoun ko qurbani ka bakra banaya hai.

Supreme court ke sabiq judge ne likha ke hindustaniabadi ka taqreeban 80 feesad hissa hindu hain aur beshtar hindustani hindu zabardast tareeqa se firqa parast aur polarize ( yani muslim mukhalif ) ho gaye hain. Saal 2014 mein BJP ke Iqtidaar mein anay ke baad unki nazar mein ziyada tar musalman bunyaad parast, mulk dushman aur dehshat gard hain. Chunanche jab kisi musalman ko gaaye ke mobayyana muhafizoun ( Gau Raksha ) ke hathoun hujume tashadud ( peet peet kar qatal ) kiya jata hai, Yo ye loog khushi mehsoos karte hain aur samajte hain ke ek dehshat gard kam ho gaya! musalmanoun ko hindu ladkiyoun se chaid khani karne waloun ke tor par pesh kiya gaya hai, Jisay love jehaad ka naam diya jata hai.

Katju ne mazeed likha, Hindustani maeeshat ki haalat bohat kharab hai. JDP mein musalsal geravat darj ki ja rahi hai. Manufacturing Sector mein bhi geravat waqay hui hai. Auto sector ke farokht mein 30-40 feesad ki kami aayi hai. Real state ka shoba bhi naazuk marahil se guzar raha hai aur be rozgari mein izafah ho raha hai. Har saal 12 millions ( ek crore 20 lakh ) Hindustani nojawan mulazimat ke bazaar mein daakhil ho rahay hain lekin mulazimtoun ki tadaad mein kami waqay hui hai. bek waqt sabzioun aur eendhan ki qeematoun mein taizi aayi hai, Kisanoun ke bohraan mein izafah huva hai aur bachoun ki ghizai qillat bhi badh gayi hai. ( Aalmi Hunger Index aur UNICEF ki reportoun ke mutabiq, Taqreeban 50% hindustani bachay ghizai qillat ka shikaar hain aur 50% hindustani khawateen mein khoon ki kami payi gayi hai ). Hindustani awam ke liye munasib sahet ka nizaam aur achi taleem mojood nahi hai.

Ye ayeen isi terhan ki sorat-e-haal hai jaisi ke 1922 mein Italy aur 1933 mein Germany mein fastai hukoomatoun ne Iqtidaar sanbhala tha. BJP hukoomat ki tavajja is masail par bilkul bhi nahi hai ke hindustan ko kis khofnaak muashi bohraan ko jakar liya hai aur usay kis terhan hal kiya jaye. Lehaza hukoomat ne un tamam cheezoun se bachney ke liye musalmanoun ko qurbani ke bakray ke tor par dhoond liya hai. Jis terhan yahudioun ko Germany mein tamam buraiyoun ka zimma daar thehraya gaya tha isi terhan hindustan mein bhi tamam buraiyoun ke liye musalmanoun ko moorad ilzaam thehraya ja raha hai. –YTN STAFF