New Delhi: Supreme court nay peer ke roz Maharashtra mein BJP Ajit Pawar hukoomat ko badi raahat di. adalat nay siyasi ghamsan ke muamlay mein tamam fareeqon ke dalail sunney ke baad, Supreme court nay faisla mehfooz kar liya. teen judges ke bench nay kaha ke is par mangal ki subah 10: 30 bajey faisla diya jayega. Supreme court ne itwaar ke roz congress, NCP aur Shiv sena ki darkhwast par samaat karte hue markazi hukoomat se Governor ka khat support letter talabb kar liya. phir markazi hko mat nay paish kiya.
Solicator general Tushar mehta nay dono khutoot adalat ke rubaroo paish kiye. Supreme court mein Ajit Pawar ki himayat karne wala khat paish kiya gaya. 54 arkaan assembly ki himayat ke khat mein kaha gaya hai ke hum Maharashtra mein ziyada din sadar ki hukmurani nahi chahtay hain, hum riyasat mein ek mustahkam hukoomat chahtay hain. yahi wajah hai ke hum hukoomat banwane ke liye Fadnavis ki himayat karte hain.
Wazeh hoke hafta ke roz Fadnavis nay Maharashtra ke wazeer-e-aala ke ohday ka halaf liya tha, jabkay Ajit Pawar nay naib wazeer-e-aala ki haesiyat se halaf liya tha. is ke baad shiv sena. NCP aur congress nay governor Bhagat Singh Koshyari ke faislay ke khilaaf Supreme court muntaqil kiya aur fori samaat ka mutalba kiya. Itwaar ke roz Supreme court ki registary nay case ki samaat ke liye din muqarrar kiya. Is se ek din pehlay, NCP, Congress aur shiv sena nay mil kar hukoomat bananay ka elaan kiya.
288 rukni aewaan assembly mein BJP ke 105 arkaan hain, jabkay NCP nay 54 nishiston par kamyabi haasil ki hai. BJP nay daawa kiya ke inhen 11 azad arkaan aur deegar ki himayat haasil hai. is tarhan unke arkaan ki tadaad 170 hogayi hai. Tushar mehta nay governor Koshyari ke wazeer-e-aala ke ohday par Fadnavis ki taqarruri se mutaliq faislay ke adalti jaizay par bhi aiteraaz jataya. –YTN STAFF