Monday, April 21, 2025
HomeIndiaBJP 40 aur Congress 39

BJP 40 aur Congress 39

Mujremana Sargarmiyoun Mein 2 Badi Jamaaton Ke Ziyada Umeed Waar Mulawis

 

New Delhi : Hindustan  mein lok sabha ke liye aam intikhabaat ekhtataam Pazeer hue aur Exit polls ney BJP ko yeh bartari haasil honay ki paish qiyaasi kar di hai lekin yeh paish qiyasiyan kitni sach hongi iska faisla to 23 May ko hoga lekin is se qata nazar agar BJP umeedwaron ko dekha jaye to un mein beshtar mujremana sargarmion mein mulawis hain. BJP ney beshtar aisay umeed waar intikhabi maidan mein utaray hain jin par mujremana Sargarmiyoun  mein mulawis honay ke ilzamaat hain .

Doosri janib BJP ki mukhalif siyasi jamaat Indian National Congress bhi is kaam mein mehez ek hi qadam peechay hai. intikhabaat aur umeedwaron ka jaiza lenay wali ek  ghair sarkari tanzeem’ association baraye jamhoori islahat’ ( ADR ) ke mutabiq wazeer e azam Narendra Modi  ki jamaat BJP ke 40 feesad umeedwaron ko mukhtalif juraim ke ilzamaat ka saamna hai jin mein khawateen ke khilaaf juraim aur qatal ke ilzamaat bhi shaamil hain. is zimn mein congress ka record bhi kuch khaas mukhtalif nahi hai aur is ke 39 feesad umeedwaron par bhi mukhtalif noiyat ke juraim ke ilzamaat hain .

Tanzeem ke mutabiq haliya intikhabaat mein hissa lainay walay har panchwin umeed waar ko mujremana Sargarmiyoun  mein mulawis honay ke ilzamaat ka saamna hai. mulk ki choti partiyon mein se communist party of India ke sab se ziyada 58 feesad umeedwaron ko mukhtalif muqadmaat ka saamna hai. wazeh rahay ke intikhabi qawaneen muliman ko election ladnay ki ijazat dete hain taham jab unka jurm saabit ho jaye aur woh saza Yafta ho jayen to election nahi ladh sakte .

Hindustan  mein chunkay adalti amal aur nizaam insaaf intahi taweel waqt ke baad apna faisla sunataa hai is liye muliman ke trial mein kayi kayi saal lag jatay hain aur baaz auqaat to das saal baad ja kar muqadme ka faisla hota hai. ADR ke sarbarah Anil varma ke mutabiq siyasi jamaten sirf apni kamyabi ke baray mein sochti hain aur yeh janti hain ke paisey, taaqat aur asro rasookh ke bal botay par hi kamyabi yakeeni banai jasakti hai. ‘

Tafseelaat ke mutabiq K.Surendaran Nami BJP ke ek  umeed waar ke khilaaf fasadaat ko hawa dainay aur qatal sameit 240 muqadmaat darj hain. ziyada tar muqadmaat is waqt banay jab woh BJP ki is muhim ka hissa they jo  baloghat tak pohanch janey wali ladkiyon aur khawateen ka kerala ke mandir mein dakhla roknay ke liye shuru ki gayi thi .

Surendaran ka agar muaqqaf jan-nay ki koshish karen to un ka bayan kaafi hai jis mein kehte hain ke mein samjhta honke koi bhi mujhe mujrim samajh sakta hai lekin haqeeqat mein, mein poori tarhan be qasoor hon, yeh sab siyasi harba tha. isi terhan congress ke umeed waar Dean Koreakos 204 muqadmaat mein mulawis honay ke sath dosray number par hain. un par aed ziyada tar ilzamaat kerala mein communist party ke khilaaf is siyasi tehreek se mutaliqa hain jis ki wajah se inteshaar pehla tha. party tarjuman ke mutabiq Koreakos be qasoor hain, police ney un par kerala hukoomat ke dabao ki wajah se be bunyaad ilzamaat ke tehat muqadmaat darj kiye. siyasi mubasireen kehte hain ke aksar auqaat awam aisay umeedwaron ko vote dete hain jin par juraim ke mukhtalif alzmat hotay hain, kyunkay woh yeh samajte hain ke aisay afraad ziyada behtar tareeqay se un ke kaam asaktay hain .

University of Hyderabad mein political science ke professor KC Sorry ney is khusoos mein izhaar-e-khayaal karte hue kaha ke taaqatwar afraad, nizaam ko theek karne ke liye ek  mutawazan nizaam muta-arif kerwatay hain. ARD ney guzashta saal dhai laakh raye dahindgaan se ek  surway kya jis mein yeh baat samnay aayi thi ke 98 feesad voters yeh samajte hain ke juraim mein mulawis umeedwaron ko parliment mein nahi hona chahiye taham 35 feesad ka yeh bhi kehna hai ke woh aisay umeed waar ko zaat paat ki bunyaad par ya agar kisi umeed waar ney maazi mein accha kaam kya ho to usay vote denge .  –YTN STAFF