Friday, April 19, 2024
HomeHyderabadBird Flu ka khauf, Hyderabad mein bakray ke gosht ki qeemat mein...

Bird Flu ka khauf, Hyderabad mein bakray ke gosht ki qeemat mein be-tahasha izafah

Hyderabad: Aisa lagta hai ke Bird Flu ka khauf kardiya hai. Itwaar ke din waisay to mamool ke bar-aks bakray ki gosht ki dukanat par bohat se hujhoom rehta hai lehaza is itwaar ko bird Flu ke khauf ke saaye taley gosht ki dukanon ke malkaan ne mutton ko 740 rupay fi kilo aur baghair haddi ka gosh 840 rupaye fee kilo may farokht kiya.

Pichle hafte ki kheemat 700 rupaye fee kilo thi. Haliya kuch din ke douran dukan ke malikaan ne shehar ke bohot saare ilaqoun may mutton ki kheematoun may izafa kardiya hai. Kuch ilaqoun may haddi ke baghair Mutton hua.

Jab se mulk ke kuch hisson mein bird Flu se mutaliq khabrain aayi hain aur bar baar yeh kehnay ke bawajood ke Telangana is se mutasir nahi ho raha hai iske bawajood mutton ki maang mein izafay ki it-tila-aat aa rahi hain. Yousufguda mein gosht ki dukaan ke maalik ne kaha hai ke mutadid khandano ne murghi ke muqablay mein mutton ko tarjeeh dena shuru kardiya hai aur isi ke mutabiq qeematon mein izafah hona shuru hogaya hai. Unhon ne kaha hum mutton 740 rupay kilo mein aur kheem 840 rupay mein farokht kar rahay hain.

Moti nagar mein ek aur gosht ki dukaan ke maalik ne kaha hai ke, cheerliya chengi, Jiyaguda, Amberpet aur deegar ilaqon mein bhi wholesale marketon mein qeematon mein izafah hua.

Pichle May mein jab isi tarhan ki sorat e haal ghalib aa gayi thi to mehakma aur GHMC ke veterinary section ne khorda dukanon mein gosht ki qeemat 700 rupay fi kilo muqarrar ki thi. yeh coronavirus ke tanazur mein murghi ke istemaal se mutaliq khadshaat ki wajah se gosht ki talabb mein kaafi izafah honay ke baad ki soorat e haal thi.