Sunday, May 19, 2024
HomeSliderBilli ki mout par 3000 Riyal ka jurmana

Billi ki mout par 3000 Riyal ka jurmana

Riyadh : Chotey bachay aksar shararti hotay hain aur kabhi kabha woh kuch nuqsanaat bhi kardete hain jis par walidain aur padosi khamosh bhi ho jatay hain lekin Saudi arab mein ek aisa waqea paish aaya jahan dawat mein aayi ek padosi khatoon ke masoom bachay ne billi ko mardeya jis par maizban khatoon ne na sirf hungama macha diya balkay is masoom bachay ki maa se jurmana ki 3000 riyal raqam bhi masool ki.

Saudi khatoon ko apni padosan ke yahan ek dawat badi mehngi padh gayi. billi ki mout par 3000 riyal Muawaza dena padh gaya. Saudi khatoon Umm-e-Ali apne 5 sala bachay ke hamrah gayi. khel ke douran bachay ne billi ka gala daba diya. jis par padosan ne hungama kardiya. tafseelaat ke mutabiq Saudi khatoon umm-e-Ali ne kaha ke iske sath ajeeb wo ghareeb waqea paish aaya. pados mein rahaish Pazeer 1 arab khatoon ne bachoun ke school chaley jaane ke baad mujhe apne ghar gup shap aur ek cup qhoh ki dawat di.
Padosan ki dawat par mein iske ghar chali gayi. hum dono gup shap karne lagey. mera 5 sala beta ghar mein idhar-udhar ghoom kar kheltaa raha. abhi hamein baithe hue ek ghanta bhi na guzra tha ke achanak meri nazar apne betay par padi woh hamari janib badh raha tha. iske haath mein billi thi jis ki gardan mein isne phandah dala hua tha. Umm-e-Ali ke mutabiq yeh manzar dekhte hi arab khatoon ne cheekh wo pukaar shuru kardi. mein ne usay sabar ki Talqeen ki to woh barham hogayi. isne mujhe aur bachay ko ghar se nikal jaane ko kaha.
umm-e-Ali ne mazeed kaha ke ghar anay ke kuch der baad mujhe yeh khauf hua ke khuda na khwasta meri pados arab khatoon ne dukh ke aalam mein khudko koi nuqsaan na pouncha le mein ne iske ghar ki bell bajai lekin darwaaza nahi khola gaya. pandrah minute baad padosan bahar aayi to iski zehni haalat theek nahi thi.
Umm-e-Ali ke mutabiq padosan ko nai billi khareed kar dene ki peshkash ki gayi. Padosan ne peshkash mustard kardi aur kaha ke is ne Sharaze nasal ki billi ko 5 baras qabal khareeda tha. mujhe tumhaarii yeh peshkash qubool nahi. Baad may arab khatoon ne mutalba kiya ke 10 hazaar riyal muawza diya jaye is se kam raqam qubool nahi karoongi. Umm-e-Ali ke khawind ne bhaari muawzay ka mutalba mustard kardiya aur usay 3 hazaar riyal bator muawza paish karne ki peshkash ki. baa-mushkil tamam 3 hazaar riyal qubool karne par amaada karliya gaya. arab khatoon ne yeh shart lagadi ke aindah dono ek dosray ke yahan nahi ayenge. –YTN STAFF