Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaBihar mein tabdeeli ke liye azeem ittehaad ki kamyabi na guzeer: Sonia...

Bihar mein tabdeeli ke liye azeem ittehaad ki kamyabi na guzeer: Sonia Gandhi

New Delhi: Congress sadar Sonia Gandhi ne Bihar Assembly intikhabaat mein tabdeeli ko zaroori qaraar diya aur kaha ke riyasat mein tabdeeli ke liye awam se azeem ettehad ku iqtidaar dainay ki Appeal ki hai. Sonia ne Bihar ke awam se kaha ke Bihar hukoomat apne maqsad se bhatak gayi hai jis se mazdoor, Kisaan aur nojawan mayoos hain yeh baat ek video pegham mein kaha. Maeeshat mutasir honay se riyasat ke Dalit aur Maha Dalit badhaali ka shikaar hain.

Congress azeem ittehaad ko Bihar ke awam ki pukaar aur aawaz qarar dete hue Delhi aur Bihar ki hukoomat ko unhoun ne ghulam hakoomaten qarar diya aur kaha ke yeh hukoomat awam ko Note bandi, Lockdown, Tijarat bandi, Iqtisadi bandi, Zaraat bandi, Rozgaar bandi ke siwa kuch nahi day rahi hai is liye is intikhabaat mein Bihar mein tabdeeli zaroori hogayi hai.

Sonia Gandhi ne apne bayan mein mazeed kaha hai ke Bihar ki is bandi hukoomat ke khilaaf nojawan nasal aur agli fasal ke liye ek naye Bihar ki taamer ke liye, Bihar ke awam tayyar hain. Kyunkay tabdeeli josh hai tawanai hai nai soch hai aur taaqat hai. Ab nai tareekh likhnay ka waqt agaya hai.

Sonia Gandhi ne kaha ke Bihar ke nojawanon ke paas salahiyat, Hunar, Taaqat aur riyasat ki nai taamer ki taaqat hai lekin be rozgari, Mehengai aur bhoogmari ne inhen aankhon mein annsoon aur peeron mein chhalay diye hain. Bihar Hindustan ki shaan aur waqar hai aur yahan ke kisaan, Nojawan, Mazdoor pooray Hindustan mein hi nahi duniya bhar mein mojood hain. Sonia Gandhi ne kaha ke Bihar hukoomat riyasat ke un nojawanon ke hunar ke mutabiq policy nahi bana saki is liye aaj Bihar ke hargaon aur shehar khait aur kalyaan apni shaan avur mustaqbil ke liye tabdeeli ko tayyar hain aur is baar Assembly intikhabaat mein tabdeeli ki fiza chal rahi hai.