Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaBihar mein asatezaa ki hadtaal, 76 Hazaar School band

Bihar mein asatezaa ki hadtaal, 76 Hazaar School band

Patna: Bihar ke taqreeban saadhay 3 lakh contract Teacher aaj se khair maena hadtaal par chalay gaye hain, Taqreeban 76 hazaar School poori terhan band hain. Aaj se hi Metric ( 10th  ) ka imthehaan shuru huva hai lekin Teachers ke Boycott ki wajah se Metric imthehaan par bhi is ke asraat mehsoos kiye ja rahay hain.

Asatezah ki kami ki wajah se dosray shobo ke mulazmeen ko imthehaan Duty di gayi hai. Asatezah ki hadtaal agar lambi chali to emtehanat ke nataij anay mein takheer bhi ho sakti hai, Sath hi NPR ka kam bhi bar waqat shuru nahi ho sakta hai.

Hukoomat ki taraf se hadtaal ko khatam karwane ke liye sakht qadam uthany ki baat ki ja rahi hai. Asatezah ke khilaaf FIR darj karne aur inhen nokari se barkhwast karne ki dhmkyan bhi di ja rahi hai hi hain lekin is baar asatezah Union ne bhi faisla kun jung ladnay ka faisla karliya hai. Aglay saal Election hai is liye umeed yahi hai hukumat koi aisa qadam nahi uthaye gi jis se is ki mazeed pareshani bhedne ka khadsha ho.

Wazeh rahay ke Bihar ke Contract asatezah ke haq mein Patna High Court ne faisla sunaya tha aur Bihar hukumat masawi kaam ke badlay masawi thankhowa dainay ka hukum jari kiya tha jis ke baad Bihar hukoomat ne Supreme Court mein Appeal ki thi. Kayi mah tak chali samaat ke baad Supreme Court ne Bihar hukoomat ki daliloun ko durust mante huve asatezah ke mutalibaat ko maan-ne se inkar kardiya tha.

Ab Supreme Court se shikast khanay ke baad Bihar ke Contract asatezh ne reyasti hukoomat ke khilaaf elaan jang kar diya hai. Asatezah Union ne kaha hai ke hukoomat baat cheet ki soorat mein hamaray mutalibaat tasleem nahi karti hai is liye hamein jarehana rukh ikhtiyar karna padta hai.

Bihar mein NRC, NPR aur CAA ke khilaaf jagah jagah honay walay ehtajaji muzahiroun se hukoomat pehlay se hi kaafi pareshan hai. Un halaat mein riyasat ke saadhay 3 lakh asatezah ki hukoomat ke khilaaf mahaaz aarai se yaqeenan is ki pareshaaniya aur badheen gi. –YTN STAFF