New Delhi : Bihar ke sabiq wazeer-e-aala Dr jagannath mishra ka peer ko Dehli mein harkat-e-qalb ruk jane se Dehant ho gaya. unki Umar 82 saal thi. Mishra ke ahal-e-khana ke mutabiq, woh ek taweel arsa se aleel the aur Delhi mein zair-e-ilaaj the. inhen cancer aur deegar bemariyan la-haq theen.
Douran-e-ilaaj unhon ne peer ki subah 9: 45 par aakhri saans li. unki mout ki khabar aam honay ke baad riyasat Bihar mein afsos ki lehar daudh gayi. Dr mishra ki shanakht Bihar ki siyasat mein ek tajrbuah-car rehnuma ke tor par thi.
Jagannath Mishra, jo Bihar ke teen baar 1975 mein, 1980 mein, aur 1989 mein wazeer-e-aala banay they, bachpan se hi siyasat mein dilchaspi rakhtay they. unhon ne apne career ka aaghaz bator professor kiya, lekin is ke baad woh siyasat mein daakhil hue aur congress mein shaamil hogaye. Dr Mishra ne markazi zair ki bhi zimmedaari bhi sambhali thi.
Jagannath Mishra ko zameeni leader samja jata tha. unka Bihar ke badey qaideen mein shumaar kiya hota hai. woh 90 ki dahai ke wast mein markazi kabeena ke wazeer bhi rahay the. congress chodhne ke baad woh nishnlst congress party mein shaamil ho gaye aur is waqt woh janata dal ( united ) mein the. –YTN STAFF