Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaBihar ke NDA Umidwaroun ka elaan, Patna sahib se Shatrugan sinha ki...

Bihar ke NDA Umidwaroun ka elaan, Patna sahib se Shatrugan sinha ki jagah Ravi Shankar prasad Umidwar

Patna: Lok Sabha intikhabaat ke liye Bihar mein NDA ne apne Umidwaroun ke naamon ka elaan kar diya hai. Patna ke BJP daftar mein mojood, BJP aur LJP Sadar ney apni list jari ki. 40 mein se abhi sirf 39 umidwaroun ka elaan kiya gaya hai. LJP ney Khagaria nishist se apna Umidwar taye nahi kiya hai. wahein BJP ney Patna sahib se Shatrugan sinha  ki jagah markazi wazeer Ravi Shankar prasad ko Umidwar banaya hai .

BJP ke secretary Bhopendar yadav ney list jari karte hue kaha 2019 ke Lok Sabha intikhabaat mein NDA, Narendra Modi ki qiyadat mein mulk mein ek mazboot hukoomat bananay ke liye agay badh raha hai.