Sunday, April 28, 2024
HomeIndiaBihar ke Gaoun ne qayam ki nadir misaal, hindu karte hain qadeem...

Bihar ke Gaoun ne qayam ki nadir misaal, hindu karte hain qadeem masjid ki dekh bhaal

Patna : In dinoun mulk mein badhti hui mazhabi junooniat, firqa parasti aur aaye din hone  walay firqa waranah waqeat ke beech, Bihar ke Nalandah zila ke ek Gaoun mein mazhabi hum ahangi khulay dil ki ek nadir misaal qaim ho gayi hai.

Jo do mazhab ke darmiyan may nafrat phelane  waloun ke liye ek sabaq hai. Bihar ke Nalanda zila ke ”Madhi gaon“ mein koi musalman nahi hain, lekin ek 200 sala qadeem masjd mein hinduoun  ki janib se din mein paanch waqt namaz padhi jati hai.

Hindu masjid ki dekh bhal ka bhi khayaal rakhtay hain.
Gaoun mein rehne walay Hans kumar ne kaha ”ham ( hindu ) ”azaan nahi jantay hain, lekin rasam ada karne ke liye rozana ”pen drive ke zareya Azaan ki recording bajaya jata hai.

Gaoun walo ke mutabiq Madhi Gaoun mein musalman abadi ka fee thi, lekin aahista aahista log wahan se hijrat kargaye.

Masjid ki dekh bhaal karne walay Sai gautam ne kaha ”masjid ki dekh bhaal karne wala koi nahi tha, lehaza hinduoun ko agay aana padha. Gautam ne mazeed kaha ke ”koyi nahi jaanta ke yeh masjid kab aur kiske zareya banai gayi thi, lekin hindu kisi bhi achay kaam se pehlay usay paish karte hain.

Gaoun ke pujari janki pandit ne kaha ”masjid ko saaf kiya jata hai aur har subah aur shaam namaz ada ki jati hai. jab bhi koi pareshani hoti hai to log yahan dua karte hain.

Is Gaoun mein kiye jarahay is tarhan ke amal ki koi nazeer nahi millti, kyunkay mulk mein jahan masjid, mandir ke jhagdoun mein par kar lok insaaniyat, ittafaq wo ittehaad ko baalaye taaq rakh kar ek dosray ke jani dushman ban gay hain, wahein ek chootey se dehaat mein khud hinduoun ki janib se masjid ki dekh bhaal aur rasmi tor par hi sahi namaz ki adaigi mazhabi hum ahangi aur mazhabi ehteram aur ibadat gaahon ki ahmiyat samajte hue usay qaim rakhne  ka jazba mulk ke sabhi bashindoun ke liye sabaq seekhne  ke Laiq hai, qabil-e-sataish hai, aur anokhi misaal hai. –YTN STAFF