Sunday, December 8, 2024
HomeIndiaBihar ke ek aur shaqs ke account mein 52 crore rupiye rozana...

Bihar ke ek aur shaqs ke account mein 52 crore rupiye rozana kayi afraad crore pati banne lage

Patna: In dino Bihar mein logon ke infiradi bank khaton mein crore rupiye dale jarahe hain. Taza tareen waqia muzaffer pur zilaa ke sangari gaon ka hai. Ek buzurg kisan raam bahadur shah ne apne bank account mein 52 crore rupiye wusool kiye hain. Yeh waqia juma ko us waqt samne aaya jab shah katra mein CSP out let par jaaker pooch guch ki ke Kya buzurg penshan unke account mein jamaa huwi hai ya nahi.

Is waqia par uske bete saujeet shah ne kaha ke CSP ke operator ne apne account mein log in kiya aur dastiyab balance mein 52 crore rupiye dekh kar hairan reh gaya. Yeh khabar ilaaqe mein jungle ki aag ki tarha phail gayi. Shah ne kaha hum khaiti badi par munhasir ghareeb dihati kisan hain. Hum riyasati hukoomat se guzarish karte hain ke mujhe kuch raqam de taake meri baaqi zindegi aasan aur humwar ho.

Unho ne mazeed kaha ke mere Walid ke account mein paise jamaa hone ke baad hamein ek masla darpaish hai. Hum kisan hain aur hamein hukoomat ki taraf se madad ki zaroorat hain. Mai nahi jaanta yeh raqam mere Walid ke account mein kaise jamaa huwe hain lekin bank ko mere Walid ko is din se sood dena chahiye. Jis din se account mein paise jamaa huwe yeh hamari ghalti nahi hain yeh bank ki ghalti hai.

Thaana kantra ka sub inspector manoj pande ne kaha ke hamein muqaami zaraye se maloom huwa hai ke ek buzurg shaqs ke bank account mein 52 crore rupiye hain Bihar mein yeh pehla mamla nahi hain is se qabl katihar ke 6wi class ke do talib e ilm jume raat ko crore pati ban gaye. Katihar ke DM audan Mishra ne taa hum dawa kiya ke yeh takneeki kharabi thi. Is ke alawa khagdiya zilaa ke ranjeet das naami shaqs ne bhi bank account mein 5.5 lacks rupiye wasool ki.

Das ne raqm wapis karne se inkar kar diya. Unho ne dawa kiya ke prime minister Narendra Modi ne har mulk ke aadmi se 15 lacks rupiye ka waada kiya tha aur yeh pehli qist thi…chunke usne raqm wapis nahi ki toh bank hukkam ne uske khilaf FIR darj ki thi aur woh is waqt jail mein band hai.