Saturday, May 4, 2024
HomeIndiaBihar intikhabaat ka elaan, raye dahi 28 October, 3 aur 7 November...

Bihar intikhabaat ka elaan, raye dahi 28 October, 3 aur 7 November ko hogi

Patna:  Bihar qanoon saaz assembly ke liye teen marahil mein intikhabaat karne ka elaan Kiya gaya hai jo darasal coronavirus ki wajah se marhala waar honge. Malana tawareekh ke mutabiq yeh intikhabaat 28 october, 3 aur 7 November ko honge jabkay votonun ki ginti 10 November ko hogi.

Bihar intikhabaat ke zimn mein cheif election commissionaire sunil arora ne yahan ek press conference mein Bihar intikhabaat ki tarikhon ka elaan kiya. tawareekh ka elaan karne ke baad unhon ne kaha ke yeh intikhabaat intehai ghayr-maa’mooli halaat mein karwaye jarahay hain aur corona ke un halaat ko mad-e-nazar rakhtay hue security ke sath sath sehat se mutaliq wasee tar intizamaa kiye gaye hain. intikhabaat ke elaan ke sath hi riyasat mein model intikhabi zabita e ikhlaq nafiz hogaya hai.

Assembly ki 243 nishiston ke liye intikhabaat teen marahil 28 october, 3 aur 7 November ko honge. teeno marahil ki votoun ki ginti ek hi din yani 10 November ko hogi. corona virus ki wajah se quarantine mein rehne walay raye dahindgaan ya to postal ballot ke zariye vote de sakte hain ya woh intikhabaat ke aakhri din apne polling both per sehat ke ohdedaron ki nigrani mein haq raye dahi se istifada karenge.

Sehat ke intizamaa ko yakheeni bananay ke liye intikhabaat mein 6 laakh PPE kit reyasti election commission ko di jayen gi iske alawa 46 laakh mask ka bhi istemaal hoga. corona virus se mehfooz rehne ke liye saat laakh hand sanitisers aur 6 laakh face Sheild faraham ki jayengi.