Friday, May 17, 2024
HomeIndiaBihar intikhabaat, Article 370 ke zareya Congress aur BJP ki ek dosray...

Bihar intikhabaat, Article 370 ke zareya Congress aur BJP ki ek dosray par tanqeed

New Delhi: Jammu Kashmir mein Article 370 ki bahaali ke Congress ke bayan ke ek din baad BJP ne Bihar Assembly intikhabaat ke apne manshoor mein Congress par shadeed tanqeed karte hue is par alehadgi pasandon ki zabaan bolnay ka ilzaam ayed kiya hai. BJP ke Senior rehnuma aur markazi wazeer Prakash Javadekar ne Congress par ilzaam lagaya ke woh 28 October se shuru honay walay Bihar  intikhabaat se qabal vote akhatta karne ke liye muashray ko taqseem ki siyasat par amal pera hain aur unhoun ne zor day kar kaha ke logon ne Jammu Kashmir mein hakoomati iqdaam ki himayat ki hai.

Unhoun ne media numaindon se izhaar khayaal karte hue kaha ke awam ne dekha hai ke Jammu Kashmir aur Ladakh mein kitni peshraft hui hai, Phir bhi Congress alehadgi pasandon ki dhninga rahi hai. Congress ek tang nazar party ban chuki hai aur isi wajah se woh jazbaat ke khilaaf muaqqaf ikhteyar karra hi hai. Unhoun ne mazeed kaha ke koi bhi masla hun Congress Pakistan aur China ki tareef karti hai. Unhoun ne Rahul Gandhi par ilzaam lagaya. Unhoun ne kaha ke pooray mulk ne Article 370 ko mansookh karne ke hakoomati iqdaam ki tareef ki hai. Yaad rahay ke Congress ke rehnuma P Chidambaram ne jummay ke roz kaha tha ke un ki jamaat Jammu Kashmir ke awam ke waqar aur haqooq ki bahaali ke liye azm hai aur 5 August 2019 ko Modi hukoomat ke mann maani aur ghair aaeni faislon ku bazyaft karna hoga.

Guzashta saal hukoomat ne Article 370 ko kaladam qarar diya tha, Jis ne is khittay ko khusoosi haqooq diye thay aur Kashmir ko 2 markazi ilaqon mein taqseem kiya gaya tha. BJP ke saddar JP Nadda ne Congress par apne muaqqaf ke liye tanqeed ki thi aur jummay ki shab Tweet kiya tha. Chunkay Congress ke paas baat karne ke liye koi achi hukmarani ka agenda nahi hai lehaza woh Bihar  intikhabaat se qabal apni taqseem hind ki khinnoni chalon par wapas aagai hai. Unhoun ne mazeed kaha ke Rahul Gandhi ne Pakistan ki tareef ki aur Chidambaram ne kaha hai ke Congress Article 370 ki wapsi chahti hai.