Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaBihar hukoomat ne ”Jal-Jeevan-Hariyali “ Mehem ke tehat taweel insani zanjeer ka...

Bihar hukoomat ne ”Jal-Jeevan-Hariyali “ Mehem ke tehat taweel insani zanjeer ka ineqad kiya

Patna: Bihar hukoomat ki janib se, ”Jal-Jeevan-Hariyali, Muhim ko farogh dainay aur bachpan ki shadi aur jahez ke nizaam jaisay muashi buraiyoun ki rokk thaam ke liye shaoor beedar karne ke liye ek insani zanjeer programme ka ineqad kiya gaya. Jis ki opposition ki janib se kari tanqeed ki gayi. Jabkay Nitish Kumar ki zair qayadat hukoomat ne daawa kiya ke lakhoun afraad ne is Programmed mein hissa liya, Lekin Rashtriya Janata Dal  ( RJD ) ki zair qayadat opposition ne is ko, Waqt, Raqam aur koshish ko zaya qarar diya.

Media se khitaab karte hue, Bihar ke chief secretary Deepak Kumar ne kaha ke 57,76,788 afraad ne 18, 034 Kilometer taweel insani zanjeer banai aur taweel tareen insani zanjeer ka aalmi record banaya. Is taqreeb mein wazeer aala Nitish Kumar, naib wazeer aala Sushil Kumar Modi, Mahuliyat ke maahir Rajendra Singh, Mutadid wazraa aur ohdedar shareek hue.

It-tila-aat ke mutabiq, Do shurka, Darbhanga mein ustaad Mohammad Dawood aur Samastipur ki rehne wali Reshma, Ki dil ka dora padney ki wajah se mout ho gayi. Wazeer aala ne kaha ke mazkorh insani zanjeer mahol ki ahmiyat ke baare mein awam tak pegham pohanchanay aur is ke baare mein shaoor ujagar kar ne ke liye tashkeel di gayi hai. Unhoun ne is programme ke shandaar kamyabi haasil karne par logoun ka shukriya ada karte hue kaha ”ham is terhan ki mehmoun ka ineqad jari rakhen ge“.

Opposition ne ilzaam lagaya ke Nitish Kumar ne Assembly intikhabaat se qabal apni shabih ko farogh dainay ke liye sarkari machinery aur wasail ka ghalat istemaal kiya, Jo is saal ke dosray hissa mein munaqqid honay ka imkaan hai. RJD rehnuma Tejashvi Yadav ne kaha ”Jis terhan se school ke bachoun ko insani zanjerain bananay aur thanday mausam mein khaday honay ke liye kaha gaya tha, Wo wazeer aala ki ghabrahat ko be naqaab karte hain. Tejashvi Yadav ne kaha ”School ke bohat se bachay is programme ke douran bemaar hogaye they“.

Yadav ne mazeed kaha ”Wazeer aala ne helicopters ki adam dasteyabi ke baais selaab se mutasirah ilaaqoun ka dora nahi kiya, Lekin un ki hukumat ne is programme ki aksabandi ke liye 15 Helicopters  ko tainaat kia tha. Aur opposition rehnuma ne kaha ke ye riyasat mein badhatay huve juraim aur be rozgari se logoun ki tavajja hataane ki koshish hai. –YTN STAFF