Monday, May 13, 2024
HomeIndiaBihar Assembly intikhabaat SDPI Alliance ka elaan

Bihar Assembly intikhabaat SDPI Alliance ka elaan

SDPI, Jan Adhikar Party, Azad Samaaj Party aur Bahujan Mukti Party par mushtamil Progressive Democratic Aliance ka elaan

New Delhi: Bihar Assembly intikhabaat 2020 ke liye Social Democratic Party of India ( SDPI ), Jan Adhikar Party ( JAP ), Azad Samaj Party ( ASP ) aur Bahujan Mukti Party ( BMP ) par mushtamil Progressive Democratic Aliance ( PDA ) ka elaan kal yahan Patna ke hotel Chanakiya Darbar mein munaqqid ek Press conference mein kiya gaya. Alawa azeen PDA Alliance ke maqased ka elaan karte hue kaha gaya ke PDA mulk mein har ek ko azadi, Haqooq aur salamti ko yakeeni bananay ke liye pur azm hai.

Bihar Assembly intikhabaat mein samaji jamhoriat aur masharti insaaf ko mazboot bananay ke liye misbet agenday par amal dar aamad ke liye PDA Alliance paband ahad hai. Bihar ki siyasat mein falahi riyasat ki Schemes muta-arif karwanay aur un par amal daraamad karne ke liye Alliance paband ahad hai. Bihar se dehshat gardi, Jungle raaj aur mafia raaj ko khatam karne, Insani waqar ko yakeeni bananay ke liye ittehaad tashkeel diya gaya hai. Bihar se imtiazi sulooq, aur khandani hukmarani ka khtama karkay Bihar mein qanoon ki hukmarani ko yakeeni bananay ke liye PDA tashkeel diya gaya hai. PDA ittehaad awam tak siyasi taaqat ( iqtidaar awam ko ) pohanchanay ke liye pur azm hai siyasat, Taleem aur rozkar mein abadi ke tanasub se numaindagi ko yakeeni bananay ke liye PDA ittehaad pur azm hai. Bihar mein zaat ki bunyaad par mardum shumari karwanay par PDA ittehaad par azm hai. Muqami awam ki zaroriat aur tawaquaat ke mutabiq kisanon ke sath sath hunar mand mazdooron ko ghair munazzam sector ke tehat farogh dainay ke liye tamam iqdamaat uthany ke liye ittehaad paband ahad hai.

Bihar mein be rozgaary ke maslay se nimatnay ke liye wasee tar mashwaray ke sath misbet iqdamaat karne ka ittehaad paband hai. Bihar mein har saal baar baar anay walay selaab ke khatray ka saamna karne ke liye mustaqil iqdamaat karne ka ittehaad paband hai. Masawaat par mabni taleemi policy jis se saqafati aur tehzibi tawazun qaim hosakay ettehad aise taleemi policy par amal pera honay ke liye pur azm hai, Neez fikri aur saqafati baladasti ko khatam karne ke liye bhi ittehaad paband ahad hai. Khawateen ko baakhtyar bananay aur bachon ke nasho numa ke liye thos plan par amal daraamad karne aur samaaj mein samaji buraiyon ke khatmay ke liye ittehaad tashkeel diya gaya hai. Sanati Uniton ka jaiza leker mazdooron ko maali madad faraham karne ke liye ittehaad par azm hai. Taleem, Sehat ki dekh bhaal aur rahaish ke liye funds ki farahmi ittehaad ki tarjeeh hogi. Is press conference mein Jan Adhikar party ke qaumi sadar Pappu Yadav, SDPI ke qaumi naib sadar Advocate Sharfuddin Ahmed, Azad Samaji party qaumi sadar Chandrashikhar Azad, Bahujan Mukti Party ke qaumi sadar VL Matang, SDPI qaumi General- Secretary Mohammad Shafi, Qaumi secretary Dr Tasleem Ahmed Rahmani aur Dr Mehboob Shareef Awad mojood rahay.