Bhopal : Madhya pradesh ke dar-ul-hukoomat Bhopal mein jummay ke roz subah mein Ganesh Visarjan ke douran ek kashti ulat jaaney se 11 logoun ki doobney se mout hogayi.
Yeh haadsa subah 4:30 bajey, nai marammat shuda reyasti police head quarter aur state disaster security team ( SDRF ) ke qareeb nichli jheel ke Khatlapura ghat par paish aaya.
Police ne bataya ke ibtidayi it-tila-aat ke mutabiq kashti mein 19 afraad sawaar they. 5 afraad ko bachaaya gaya aur 3 afraad laa pata hain. yeh waqea is waqt hua, jab ganesh ki ek bhaari moorti darmiyani pani mein jhuk gayi. Aini shahideen ke mutabiq do kashtiyan aapas mein jari hoyi theen, jin mein 23 afraad sawaar they. tamam afraad ki 27-28 saal umar ke they. jaisay hi ek kashti ulat gayi, logon ne is par koodnay ki koshish ki aur tawazun kho gaya.
Halaak honay walay afraad Piplani, BHEL township ke quarters ke rehne walay they. municipal corporation ne bataya kaha kay SDRF ki teams, ghouta Khor aur police ki teams talash jari rakhay hue hain. Madhya pradesh ke wazeer-e-aala kamal nath ne afsos ka izhaar kiya hai aur halak honay walay har afrad ke lawahiqeen ko 4 laakh rupaye x grishya dainay ka elaan kiya hai, aur waqea ki magistrate se tehqiqaat ka hukum diya hai unhon ne kaha ke is waqea mein laa parwahi samnay anay ke baad kisi ko bakhsha nahi jayega.
Sabiq wazeer-E-aala Shivraj Singh Chouhan ne is waqea par ranj wo gham ka izhaar karte hue tweet kiya aur unhon ne ghaflat ka maamla uthaya hai aur haerat ka izhaar kiya hai ke juloos nikaalte walon ko life jackets se aarasta kyun nahi kya gaya tha. –YTN STAFF