Sunday, April 20, 2025
HomeHyderabadBhook hartaal kar rahay, RTC mulazmeen JAC ke rehnuma ki giraftari

Bhook hartaal kar rahay, RTC mulazmeen JAC ke rehnuma ki giraftari

Hyderabad: Hartaal kar rahay TSRTC mulazmeen ke ek rehnuma, jo haftay ke roz apni rahaish gah par ghair muayana muddat ki bhook hartaal shuru ki thi, inhein itwaar ke roz girftar kar liya gaya. tafseelaat ke bamujab Telangana State Road Transport Carporation (TSRTC) ke mulazmeen ki Joint Action Committee ( JAC ) ke Convenor Ashwatama Reddy ko Police ne Hyderabad ke muzafaat may waqay Urmila Nagar may waqay unki rahaish gaah se giriftar kar liya aur Osmania Hospital muntaqil kar diya. Ashwatama ki giraftari ke douran unke kunba ke afraad aur TSRTC ke deegar rehnumao ne Police ke khilaaf muzahmat ki koshish ki.

Ittila ke mutabiq, Ashwatama Reddy ki haalat kharab honay ke baad Police ne ye karwai ki. Reddy ka muaina karne walay Doctoroun ne inhen bhook hartaal khatam karne ka mashwara diya tha, lekin unhoun ne is waqt tak bhook hartaal khatam karne se inkaar kar diya, jab tak ke reyasti hukoomat un ke mutalibaat par hartaali mulazmeen se baat cheet karne ke liye agay nahi aati.

Wazeh ho ke shehar ke wast may waqay Indra park may Police ne inhen bhook hartaal karne ki ijazat dainay se inkaar ke baad Reddy ne haftay ke roz apni rahaish gaah par bhook hartaal shuru kiya tha. un ke ilawa JAC ke shareek Convenor Raji Reddy ko bhi LB Nagar may waqay un ki rahaish gaah se giriftar kiya gaya tha. wo bhi haftay ke roz se bhook hartaal par they.

Police ne Madiga Riservation Porata  Samithi (MRPS) ke rehnuma Manda Krishna Madiga ko bhi giraftar kar liya, jinhoun ne hartaali mulazmeen ki himayat may Indra perk may dharna denay ka mutalba kiya tha. Police ne ehtijaj ki ijazat se inkaar kar diya tha. Manda Krishna Madiga ko Habsiguda ke ek Lodge se uthaya gaya tha. unhoun ne sahafiyun ko bataya ke hukoomat hartaal se nimatnay ke liye ghair jamhoori tareeqoun ka sahara le rahi hai. itwaar ke roz TSRTC ke 48,000 se ziyada mulazimeen ghair muayana muddat ki hartaal 44 win din may daakhil ho gayi hai. –YTN STAFF