Thursday, May 2, 2024
HomeIndiaBhiwandi imarat hadsay mein amwaat ki tadaad mein izafah

Bhiwandi imarat hadsay mein amwaat ki tadaad mein izafah

Mumbai: Riyasat Maharashtra ke ilaqay Bhiwandi mein imarat ke munhadim honay ke hadsay mein amwaat ki tadaad mein izafah ho raha hai jis ka pehlay hi khadsha zahir kiya ja raha tha. Police ne kaha hai ke Maharashtra mein Bhiwandi imarat girnay ke nateejay mein halakatoun ki tadaad mein izafah hogaya hai aur ab yeh 17 hogayi, Raat ke douran mazeed 4 lashain bar aamad huvi hain aur halaak honay walon mein 8 bachay bhi shaamil hain.

Police ne kaha hai ke raat ke douran malbay se 15 sala afsana ansari ki laash mili hai. Malbay se bachaaye jane walon ki tadaad 23 hogayi hai jabkay 2 khawateen samait 3 mazeed afraad ko raat ke waqt nikala gaya tha.

Jeelani nami 43 sala qadeem imarat paiir ke din alas subah 3 bajkar 30 minute par dhair hogayi. Is imarat mein 40 flat thay, Jis mein qareeb 150 afraad muqeem hain. Thaana Disaster Response Force, Fire Brigade aur NDRF imdadi karwai mein masroof thay. Bhinwandi ek powerlom shehar hai jo Thaana se 10 kilometer ke faaslay par hai jabkay Mumbai se 50 kilometer daur hai.

NDRF ke DGSN Pradhan ne kaha hai ke woh malbay taley phansay hue logon ki talaash ke liye Ghana squad ka istemaal kar rahay hain. Halaank yeh imarat bhooni Nizampur Municipal Corporation ke khasta haal dhanchay ki fehrist mein shaamil nahi thi.

Bhinwandi ke DCP Shende Rajkumar ne kaha ke tabahi aur shehri ohdedaron ki shikayat ke baad imarat bananay walay maalik Syed Ahmed Jelani ke khilaaf IPC ki dafaa 337, 338, 304 ( 2 ) ke tehat muqadma darj kiye jarahay hain.

Thaana ke wazeer Shende Eknath Shinde ne kaha ke tehqiqaat hogi. Unhoun ne jaye waqooa ka dora kiya aur har maqtool ke lawahiqeen ko 5 lakh rupay ki X Gracia dainay ka elaan kiya. Shende ne kaha ke bhondi mein 102 emiratein khatarnaak hain jahan inkhilah pehlay hi hochuka hai.