Monday, April 21, 2025
HomeIndiaBhim Army Chief Chandrashekhar Azad ko mili mashroot zamanat

Bhim Army Chief Chandrashekhar Azad ko mili mashroot zamanat

New Delhi: Bhim Army Chief Chandrashekhar Azad ko purani Delhi ke Daryaganj tashadud case mein Delhi ki tees hezari adalat se zamanat mil gayi hai. Additional judge  Kamini Lau  ne Azad ko zamanat dete hue kuch shartain bitayen. Chandrashekhar Azad ko Delhi ke daryaganj mein shehriat tarmeemi qanoon ke khilaaf tashadud ke ilzaam mein giraftar kiya gaya tha.

Adalat ne Chandrashekhar se 4 haftoun ke liye Delhi chode ne ko kaha hai. Aur 4 haftoun tak har haftay ke roz Saharanpur police station mein haazir honay ki bhi hidaayat di hai. Fislay ke baad adalat ne Chandrashekhar Azad ko ye bhi hidaayat ki hai ke wo Shaheen Bagh nahi jayenge. Aur nah hi wahan jari ehtijaj mein wo kisi bhi terhan shaamil honay ki koshish karen ge.

Judge Kamini Lau  ne ye bhi wazeh kiya ke Saharanpur ke liye rawana honay se qabal, Agar Azad Delhi mein Jamia Masjid ya Ravidas mandir sameit kisi bhi jagah jana chahtay hain, To Delhi police inhen nahi rokay gi.

Bhim Army Chief Chandrashekhar Azad ki zamanat par samaat ke douran, Tees hezari adalat ne bhi sarzanish ki. Adalat ke Chandrashekhar se kaha ke ”aap ko idaray aur wazeer aazam ka ehtram karna chahiye“. Chandrashekhar ne Ram Prasad Bismel ka gana twit kiya, Wo usay har roz gatay hain. Is par adalat ne kaha ke, Kiya is Twit se loog pareshan nahi honge. Is par Chandrashekhar ke wakeel ne kaha ke RSS ka bhi Twit hai.

Jis par adalat mushtael ho gayi aur kaha ke aap yahan kisi aur ke Twit ka zikar mat kijiyej. Mahmood Paracha ne adalat ko bataya ke RSS ke khilaaf ehtijaj kiya ja raha hai jab Modi ji ko kisi se pareshani hoti hai to police ko bhaij dete hain. Is par adalat ne kaha ke aap wazeer aazam aur idaray ka ehtram karen. –YTN STAFF