- Muslim aabaadi mein izafah ki sharah mein zabardast girawat
- Hindus ke sharah numoo mein 3.16% kami
- Musalims ke sharah numoo mein 4.92% kami
- Jammu & Kashmir aur Lakshdweep mein hi Muslims aksariyat mein
- Chaar riyasaton Nagaland, Mizurom, Meghalaya aur Manipur mein Christians ki aksariyat
- Arunachal Pradesh, Kerala, Tamilnadu, Goa aur Andaman & Nicobar mein Christians dosray number par
- Punjab mein Sikhs ka ghalba
- Muslims abadi ke lehaaz se duniya mein Bharat ka teesra number
- Muslims 17.a2 crore aabaadi ke sath Mulk ki aabaadi ka 14.23%
- Muslims ka tanasub shehri ilaaqon mein 18.23% aur dehi ilaaqon mein 12.41%
- 10 riyasaton mein Muslims ki majmoi abaadi aik lakh se kam
- Mulk ke 83.59% Muslims sirf 10 riyasaton mein rehtay hain
Ather Moin
Hyderabad. Bharat mein mardum shumari 2011 ke lehaaz se hanoz Muslim Mulk ki doosri badi aabaadi hai taham guzisshta aik dahey mein Muslims ki aabaadi mein farogh ki sharah mein zabardast kami aayi hai jo guzisshta 6dahon ki sab se ziyada girawat hai. Muslims ki aabaadi ki sharah numoo jo 1991-2001 ke dauraan 29. 52% thi iss mein zabardast girawatt aayi aur ab 2001-2011ke dauraan sirf 24.60% hi rahi hai. Agarchay hanuz Muslims ki sharah numoo, Hindus aur deegar tabqaat se ziyada hai magar girawatt ka tanasub dekha jaye to woh Hindus se badh kar hai. Hindus ki aabaadi mein izafah ki sharah 1991-2001mein 19. 92% thi jo ghatt kar 16.76% hogai hai jabkay Muslims ki aabaadi mein izafah ki sharah 29.52% se ghatt kar 24.60% tak pahonch gayi hai. Iss tarha Muslims ki aabaadi mein izafah ki sharah qader mein 4.92% ki kami aayi hai jabkay Hindus ki aabaadi mein izafah ki sharah mein sirf 3.16% hi kami aayi hai. Muslims ki sharah numoo sab se onche rehne ki aik wajah logon ka isslam qubool karna bhi hai chunkay Christianity aur Islam mein hi dawah ka kaam hota hai, jiss ko roknay ke liye Hindu firqa paraston ne love Jihad ki isstilaah isstemaal karte hue Dawah ke kamon par rok laganay mukhtalif harbe ikhtiyar kiye jarahay hain, hatta ke ab sarkari satah par bhi aissa kya jaany laga hai. NIA jaissi tehqiqati agency ke zareya yeh tehqeeq karwai jarahi hai ke aissay cases ka pata chalaya jaye jiss mein shadi ke liye Islam qubool karwaya gaya hai. Hindustan mein Muslims ki aabaadi takreeban 17. 22 crores hai aur Mulk ki aabaadi mein un ka tanasub 14. 23% hota hai. Duniya ki Muslim aabaadi ka 11% Hindustan mein hai. Yeh qiyaas ghalat hai ke Pakistan ke muqabil Hindustan mein Muslim ziyada rehtay hain. Agarchay donon Mumalik mein Muslims ki aabaadi ka farq ziyada bada nahi hai magar Hindustan ke muqabil Pakisstan mein Muslim ziyada rehtay hain jo mumkin hai aanay walay dinon mein badal jaye aur Muslim aabaadi ke hissaab se Hindustan duniya ka dosra Mulk ban jaye. Indonesia aur Pakistan ke baad Hindustan mein Muslims ki sab se badi aabaadi hai. Andaza hai ke Hindus, Muslims aur Christians ki sharah numoo mein aayindah do dahon mein mazeed girawatt aaskati hai jabkay deegar tabqaat ki sharah numoo mein koi qabil e lehaaz farq nahi aeye ga. Aabaadi ke lehaaz se Hindus ka ghalba Manipur, Arunachal Pradesh, Meghalaya, Nagaland, Mizoram (Christian ghalba wali riyasaten), Punjab ( Sikh ghalba wali riyasat ) aur Jammu & Kashmir aur Lakshadweep (Muslim ghalba wali riyasaten) ko chod kar maabaqi 28 riyasaton mein hai. Mashriqi Hindustan mein Christians ki aabaadi ka ghalba hai. Mazhabi aitebaar se 4 riyasaton Nagaland, Mizoram Meghalaya aur Manipur mein Christians ka ghalba hai jabkay Arunachal Pradesh, Kerala, Tamilnadu, Goa aur Indoman & Nikobar mein un ki aabaadi qabil lehaaz hai. 2 riyasaton Jammu & Kashmir aur Lakshadweep mein Muslims ka aur aik riyasat Punjab mein Sikhs ka ghalba hai.
Mazhabi lehaaz se Bharat mein 96.62 crore (79. 80%) Hindus, 17.22 crore (14. 23%) Muslims, 2. 78 crore (2.30%) Christians, 2.08 crore (1.72%) Sikhs, 84.43 lakh (0.70%) Budhists, 44.52 lakh (0.37%) Jain mazhab ke maan-ne walay hain. 79.38 lakh (0.66 %) afraad deegar mazahab ke maan-ne walay hain jabkay 28.67 lakh afraad (0.24%) ne apna mazhab zahir nahi kya hai. Mutahidda riyasat aandhra pradesh mein Muslims ki aabaadi 9.52% hai. Telangana ka alahda data hanuz dastyab nahi ho saka. Bharat mein shehri ilaaqon mein tamam mazahab ke maan-ne walay 37.71 crore log baste hain jin mein Hindu 28.22 crore (74.82%), Muslim 6.87 crore (18.23%), Christian 1.12 crore (2.96%), Sikh 59.02lakh (1.57%), Budhists 36.28 lakh (0.96%), Jain Mat ke maan-ne walay 35.47 lakh (0.94%), deegar mazahab ke maan-ne walay 7.39 lakh (0.20%) aur jin logon ne apna koi mazhab nahi zahir kya un ki tadaad 12.24 lakh (0.32 %) hai. Isi tarah dehi Bharat mein 83.38 crore log baste hain jin mein Hindu 68.41 crore (82.05%), Muslim 10.35 crore (12.41%), Christian 1.67 (2. 00%), Sikh 1.49 crore (1.79%), Budhists 48.15 lakh (0.58%), Jain mazhab ke maan-ne walay 9.04 lakh (0.11%), deegar mazahab ke maan-ne walay 72 lakh (0.86%) aur mazhab ka zikar nah karne walay 16.44 lakh (0.20%) paye jatay hain.
Aabaadi ke lehaaz se sab se ziyada Muslim Uttar Pradesh mein paye jatay hain jahan un ki majmoi aabaadi 3, 84, 83,967 hai, jahan Muslims kul aabaadi ka 19.26% hain jabkay Muslim aabaadi ke lehaaz se doosri badi riyasat West Bengal hai jahan Muslims ki majmoi aabaadi 2, 46, 54, 825 hai jo kul aabaadi ke 27.01% hain. Iss ke baad Bihar ka number aata hai jahan Muslims ki kul aabaadi 1, 75, 57, 809 hai jo majmoi aabaadi ka 16.87% hai. choutha number Maharashtra ka hai jahan Muslims ki aabaadi 1, 29, 71, 152 hai jo majmoi aabaadi ka 11.54% hai aur kaseer Muslim aabaadi ke lehaaz se panchwin number par Asam hai jahan Muslims ki majmoi aabaadi 1, 06, 79, 345 hai jo riyasat ki kul aabaadi ka 34.22% hotay hain. Yeh paanch riyasaten hi aissi hain jahan Muslims ki majmoi aabaadi 1 crore se zayed hai iss tarha un paanch riyasaton mein basnay walay Muslims ki kul aabaadi 10, 43, 47, 098 crore hai. Iss lehaaz se un paanch riyasaton mein Mulk ke 60. 58% Muslims rehtay hain aur issi tarha das badi riyasaton mein Muslim 14, 39, 78, 909 baste hain jo Mulk ke Muslims ki aabaadi ka 83. 59% hotay hain. Riyasat ki aabaadi mein Muslims tanasub ke etebaar se Lakshadweep mein 9 6. 58% , Jammu & Kashmir mein 68.31%, Aasam mein 34.22%, West Bengal mein 27.01% aur Kerala mein 26. 56 % hain.
Isi tarha Sikkim mein sab se kam Muslim baste hain jahan kul Muslim aabaadi sirf 9, 867 hai aur woh Sikkim ki majmoi aabaadi ke 1.62% hi hain. Muslims ki kam aabaadi ke lehaaz se dosray number par Dadar wo Nagar Haveli hai jahan Muslims ki kul aabaadi 12, 922 hi hai aur majmoi aabaadi mein tanasub 3.76 % hai, teesray number par Mizoram hai jahan kul Muslim aabaadi 14, 832 hai aur riyasat mein un ka tanasub 1.35% hai, chouthay number par Daman and Diu hai jahan kul Muslim aabaadi 19, 277 hi hai aur majmoi aabaadi mein un ka tanasub 3.76% hai. Panchwin number par Arunachal Pradesh hai jahan Muslim aabaadi sirf 27, 045 hai aur riyasat mein Muslims ka tanasub 1.95% hai. Mulk mein das riyasaten aissi hain jahan Muslims ki majmoi aabaadi aik lakh se kam hai. yeh das riyasaten jin mein markaz ke zair e intizam ilaqay bhi shaamil hain yeh hain Sikkim, Dadr & Nagar Haveli, Mizoram, Daman and Diu, Arunachal Pradesh, Indoman & Nikobar Islands, Nagaland, Chandigarh, Lakshadweep aur Pondicherry hain.