Monday, October 14, 2024
HomeSlider'Bharat Band' Telangana mein be asar

‘Bharat Band’ Telangana mein be asar

Hyderabad. Congress Party ki zair e qayadat 22 mukhtalif partiyon ki janib se Petrol aur Diesel ki qeematon mein be tahasha izafah ke khilaaf aaj maneye gaye Bharat band Telangana mein koi assar nahi raha albatta sirf oppostion partiyon ka ehtijaj dekhney ko mila jabke Andhra mein band ka asar juzwi raha hai. Telangana riyasat mein band ka kaarobar ke ibtidayi auqaat mein mila jula raad-e-amal raha aur din mein 12 bajey ke baad to tamam karobari idaray khulay dekhe gaye. Ta haal koi nagzhani waqea paish nahi aaya hai taham shehar ke mukhtalif muqhamat aur Telangana bhar mein Congress aur Oppostion Partiyon ney ehtajaji muzahirey kiye aur jagah jagah Wazeer e Azam Narendra Modi ke putlaay Nazar e aatish kiye. Communist Party Of India ke qaideen ney Narendra Modi hukoomat ke iqdamaat ko mustarad karte huwe bator ehtijaj sadak par kabadi khela. Congress Party, Left partiies aur Telugu Desham Party ke qaayideen ney RTC Bus Depots ke rubaroo dharna diya taakay Busoon ko bahar nikal ney se roka jaye. Police ney darjanon ahtejajyon ko hirasat mein le liya aur inhen mukhtalif Police Stationon mein mahruse rakha gaya hai. Telangana mein barsara-e-iqtedar Telangana Rashtriya Samiti aur is ki haleef Majlis Ittehad ul Muslimeen ney band ki tayeed nahi ki hai. Agarchay Andhra Pradesh mein barsara e iqtedar Telugu Desham Party ney bhi band ki tayeed ka bazabta elaan nahi kiya taham is ke kaarkunon ney Andhra Pradesh aur Telangana Petrol aur Diesel ki qeematon mein izafah ke khilaaf kiye jane walay ehtejaj mein hissa liya. Bharat Band ehtejaj ke baais din mein kuch der ke liye RTC Bus Service mutasir rahi taham phir mamool ke mutabiq baseen chalaye gayeen. Telangana RTC ke aik oudedar ney bataya ke riyasat ke kisi bhi hissa mein Bus Service mutasir nahi huwi hai aur hum mamool ke mutabiq baseen chalarhe hain. Vice Chancellor Osmania University Professor S Chandar ney bataya ke Pre Phd imthehaan jo peer ko munaqqid honey walay tha multawi karte huwe mangal ko rakha gaya hai. Un ke mutabiq University se mulhiqa tamam Collages khulay hain.