Monday, April 21, 2025
HomeSliderBhainsa mein dard naak waqea, Be qusoor nojawanoun ki giraftari par walidain...

Bhainsa mein dard naak waqea, Be qusoor nojawanoun ki giraftari par walidain ka intqaal

Bhainsa: Riyasat Telangana ke shehar Bhainsa mein haliya firqa waranah tashadud ke douran apne 2 be qasoor bitoun ki giraftaryoun ke baad sadma se do chaar aur pareshan haal walidain ka intqaal ho gaya. Bataya jata hai ke haliya tashadud ke waqeat ke baad police ne 13 January ek hi kar ke ghar ke do bhayo ko giraftar karte hue adalti tehweel mein day diya tha, Jabkay un waqeat se un bhayo ka koi talluq nahi hai.

Ek bhai Mohammad Kashif Banarsi, Jo Nizamabad mein BSC Nursing home mein Male Nurse ki khidmat anjaam day rahay hain, Jinhoun ne par tashadud waqeaat mein zakhmi afraad ko tibbi imdaad pohanchai thi. Jabkay dosra bhai Mohammad Asif Banarsi, Hyderabad mein Plumber ki hesiyat se kaam karte hue apne khandan ki kifalat karta hai.

Ye dono bhai guzashta dinoun Nirmal mein munaqidah tableeghi ijtima mein shirkat ke baad Bhainsa lautay they. Aur isi douran Bhainsa mein fasaad huva tha. Jis ke baad police ne baday pemane par giraftaryan ki then, Jin mein un dono ko bhi police ne giraftar kar liya tha. Dono bitoun ki ghair zaroori giraftari ke baad un ke waalid aur walida pareshan kun halaat se guzar rahay they. Aur apne bitoun ko zamanat nah milne aur muqami adalat mein zamanat ki darkhwast mustard kiye jaane ki ittila milne ke baad sadma ka shikaar walidain ka inteqal hogaya.

Charshumbe ki subah ki awleen sa-atoun mein un no jawanoo ke waalid janab Abdul Ahad Banarsi ka omar 75 saal intqaal hogaya. Aur jab un ki ahliya Ahmedi Begum ko intqaal ki ittila di gayi, Un ke intqaal ke 2 ghantay baad hi un ki ahliya ka bhi harkat qalb band hojane se intqaal ho gaya. Un ki omar 65 saal thi.

Is terhan apne bitoun ki giraftari par sadma se dochar walidain ne apne bachoun ki rihayi ki aas liye duniya se hi rukhsat ho gaye. Aur be qasoor dono bhai aur un ke deegar bhai behan ek hi pal mein yateem o yaseer ho gaye. Darasal Abdul Ahad Banarsi ke 5 betay sameit 10 bachay hain.

Is waqea ke aam hotay hi awam ki badi tadaad janab Abdul Ahad Banarsi ke makaan par jama ho gayi aur police ke rawayya par sakht ehtijaj kiya gaya ke is ne 2 be qasoor nojawanoun ko giraftar kar liya.

Tafseelaat ke mutabiq, Bhainsa ke haliya firqa waranah tashadud waqea ke baad police ki jaan se baday pemane par be qasoor Muslim nojawanoun ki giraftarin amal mein layi gayi then. Jis mein kayi be qasoor nojawanoun ko giraftar karte hue mukhtalif muqadmaat ke tehat inhen adalti tehweel mein bhaij diya gaya. Un hi mein se 2 sagge bhai 24 sala Mohammad Kashif Banarsi, aur 21 sala Mohammad Asif Banarsi bhi hain.

Janab Abdul Ahad Banarsi ke ek aur farzand Arif Banarsi ne kaha ke hukoomat ek janib jahan musalmanoun ko insaaf dilane ki baat keh rahi hai, Doosri janib police ki janib se be qasoor nojawanoun ko andha dhund giraftar kiya gaya. Unhoun ne wazeer aala K. Chandrashekhar Rao, Wazeer e dakhla Mohammad Mahmood Ali aur dosray police ke aala ahdidaran se mutalba kiya ke wo giraftar shuda be qasoor nojawanoun ko fori reha karde.

Ye baat qabil zikar hai ke peer ko jab kashif aur Asif ko adalat laya gaya is waqt apne dono betoun ko hathkarioun mein dekh kar un ki walida be hosh ho gayi then. Is ziman mein Bhainsa ke Advocate Masras Mohammad Muneer Ahmed , Mohammad Imtiaz Ul Haq , Zakiuddin, Praven ke ilawa high court ke Advocate MA Muqeet , Kashif aur Asif ko parole par reha kar vane ki ko shash kar rahay hen. Taakay wo apne walidain ka aakhri deedar karte hue tadfeen mein shirkat kar saken.

Is waqea ke baad Bhainsa aur deegar ilaaqoun mein gham ki lehar daud gayi hai aur awam police ke be rehmanah rawayya aur zulm par bar hum hain. Ek taraf jahan mulk ki Universition mein talba par police ke zulm ke waqeat abhi taaza hain aur poora mulk un waqeat ki muzammat kar raha hai, Aisay mein Bhainsa ke un be qasoor nojawanoun ki giraftari aur un ke khilaaf muqadmaat darj karte hue jail pahunchana aur is sadme se un ke walidain ka duniya se rukhsat ho jana. Ye sab police ki zalimana karwai par sawalia nishaan hain. –YTN STAFF