Sunday, April 20, 2025
HomeSliderBetiyoun ki jald shadi karne ki hidayat, khilaaf warzi par sakht karwai...

Betiyoun ki jald shadi karne ki hidayat, khilaaf warzi par sakht karwai ka intibah

Riyadh : Saudi arab ke insani huqooq commission nay walidain ko intibah diya hai ke Betiyoun ki shadi mein takheer na karen. Saudi press agency ke mutabiq aisay walidain insani huqooq ke qawaneen ki khilaaf warzi ke murtakib hotay hain unke khilaaf sakht karwai ki jayegi. Saudi arab ke human rights commission nay apne bayan mein kaha hai ke walidain ka ye amal na-qabil-e-qubool hai.

Betiyoun ki jald shadi karne ki Hidayat, khilaaf warzi par sakht karwai ka intibah isse khawateen ka istehqaq majrooh hota hai aur hamaray mazhab mein bhi Betiyoun ki shadi mein takheer se mana kiya gaya hai. Saudi arab ke qanoon ke mutabiq aisa karne walay walidain ke khilaaf karwai hosakti hai. bayan mein mazeed kaha gaya hai ke Shariat ke qanoon ke mutabiq aisi khawateen jinhein apni shadi ke hawalay se walidain ki taraf se aisay rawaiye ka saamna ho wo muqadma dair karne ki majaz hain. insani huqooq commission nay mutaliqa hukkaam ko Hidayat di hai ke woh khawateen ke huqooq se mutaliq shaoor ujagar karen aur qawaid ki khilaaf warzi karne walay walidain par jurmane aaed kiye jayen.

Doosri janib ek khayaal hai ke Saudi arab mein shadian anjaam paana mushkil kaam horaha hai kyunkay Saudi arab mein khoobsorat shareek hayaat ka husool ladkoun ke liye mehanga souda saabit horaha hai kyunkay ladkiyon ki janib se nikah ke liye moti raqam ka mutalba ab ek rujhan ban chuka hai. iske alawa deegar kayi wujuhaat hai jis mein ek ahem wajah misaal ke tor par yahan pesh ki jarahi hai.

Saudi salesman Majid shadi ki tayari kar rahay they jab unki mangetar ne unse nikah naame mein driving ki ijazat denay ka mutalba kardiya jo-ke Majid ke liye ek mushkil faisla tha. Saudi arab mein jahan khawateen aksar shohar ya iske ahal-e-khanah ke reham wo karam par hoti hain, nikah-naame mein sharait unke mafadaat ko tahaffuz faraham karti hain. aam tor par Saudi muashray mein khawateen nikah naame mein zaati rehaish, mulazim rakhnay, taleem ya noukari jari rakhnay ki sharait rakhti hain aur un sharait ko qanooni tahaffuz bhi haasil hota hai.

Taham jab Saudi hukoomat ne pichle saal khawateen ki driving par aaed dahaiyo purani pabandi hataye to ab nikah naamoun mein driving ki ijazat maqbool shart ban chuki hai. 29 sala Majid ne kaha ke unhoun ne apni 21 sala mangetar ki shadi ke baad driving ke alawa mulazmat karne ki shart maan li hai.

Majid ke mutabiq, unki mangetar shadi ke baad bhi azaadi chahti hain aur mujhe is par koi aiteraaz nahi. Saudi arab mein khawateen ko taleem, shadi waghera ke bar-aks driving ke liye shohar, baap ya bhai jaisay Mehram ki barah-e-raast ijazat ki zaroorat nahi hoti, taham yeh ibham zaroor moujood hai ke agar mehram inhen driving se rokay to qanoon inhen kiya tahaffuz faraham karta hai aur kayi Saudi log isi qanooni suqam ka sahara letay hain.

Riaz ke ek nikah khwan Abdul Mohsin al ajmi ne  kaha kay kuch khawateen shadi ke baad isi tarhan ke masail se bachney ke liye nikah naamoun mein yeh shart rakhwati hain kyunkay is tarhan shohar inhen roknay ka majaz nahi rehta.

Dhahran shehar ki ek 72 sala gharelu khatoon Muneera al senani kehti hain ke haal hi mein 2 aisay waqeat unki nazroun se guzray hain. Muneera ne kaha ke kis tarha ek ladki ne  apne mumkina shohar ko 2 tokh alfaaz mein kaha ke agar inhen driving ki ijazat na mili to maamla khatam samjhein.

Is rujhan se pata chalta hai ke Saudi khawateen nikah naamoun ki sharait ke zariye man-maani ko batadreej awaliyat derahi hain. Nikah khawan Abdul Mohsin al ajmi ne  kaha ke ek khatoon ne  shart rakhi ke shadi ke pehlay saal wo haamla nahi hona chahti aur shohar ka unki tankhwa par koi haq nahi hoga.

Ek khatoon ne apna nikah nama online kar diya jis par social media par bhonchal aagaya. is nikah naame ke mutabiq un khatoon ke shohar ko doosri shadi ka haq nahi hoga. Doosri janib mard bhi baaz auqaat nikah naamoun ke zariye apni dulhan par mulazmat na karne jaisi pabandiyan aaed karte hain.

Al ajmi ke mutabiq, nikah naamon ki aisi sharait ishara hain ke Saudi muashra tabdeel horaha hai taham aisi sharait rishto mein darar ka sabab bhi ban rahi hain kyunkay Saudi arab ke muashray mein inhen shohar ke liye tazleel samjha jata hai.

Saudi media ne  haliya barsoun mein talaqoun ki sharah mein izafah report kiya hai. Al ajmi ne kaha hai ke maazi mein muashra khawateen ki nahi santa tha aur kisi bhi muamlay mein shohar ka faisla hatmi tasawwur hota tha lekin ab shohar apni biwiyoun ki umangoun aur khowaboun ko sun aur poora kar rahay hain. –YTN STAFF