Friday, May 3, 2024
HomeHyderabadBeryani aur Chaat se pyaaz gayab, Hyderabadi awam ke mazay pheekay

Beryani aur Chaat se pyaaz gayab, Hyderabadi awam ke mazay pheekay

Hyderabad: Hyderabad ki beryani ko aalmi shohrat haasil hai lekin in dinoun khud hyderabadioun ko beryani be maza lag rahi hai. Is ka hargiz ye matlab nahi ke beryani ka andaaz badal gaya hai ye phir Hyderabad mein lazeez beryani nahi pac rahi hai balkay pyaaz ki qeemat aasman se baaten karne ki wajah se ye beryani se gayab hogayi hai jis ki wajah se na beryani ka maza araha hai aur nah hi salad mein pyaaz faraham ki jarahi hai jis ki wajah se Hyderabad awam ko apni mann pasand dish se lutaf andoz hone ka mauqa nahi mil raha hai.

Riyasat Telangana mein pyaaz ki qeemat 100 rupiye fi kilo se tajawaz kar gayi hai jabkay Retu baazaaroun mein fi kilo pyaaz 80 taa 90 rupiye farokht ki jarahi hai. Shehar ke kayi Stores mein dosray darjah ki pyaaz 70 taa 80 rupiye ke hisaab se farokht ki jarahi hai. pyaaz ki qeematoun mein izafah ke baad shehar Hyderabad ke Restaurant, Pani Poori chaat ki dukanat par se pyaaz gayab hogayi hai. Yahan tak ke baaz hoteloun ne pyaaz wali ashya banana chode diya hai kyun kay is ki qeemat mein izafah darj kiya gaya hai.

Beshtar hoteloun mein pyaaz se banea jaaney wala Dosa bhi farokht nahi kya jarha hai. Guzashta mah hui be mausam barish ke nateeja mein Maharashtra mein pyaaz ki fasal ko hue nuqsaan ke baad is ki qeemat mein achanak izafah hogaya. Is kami ka faida uthatay hue taajiroun ki janib se zakheera andozi karte hue is ki masnoi qillat pidaki jarahi hai. Achanak is terhan ki sorat-e-haal par pareshan awam ne pyaaz ki kharidari mein kami ki hai. Awam ne tashweesh ka izahaar kartay hue kaha ke is izafah se un ka gharelo budget mutasir huwa hai.

Shehar ki retail market aur wholesale marketoun  mein pyaaz kharidne ke liye ane walay afraad ne kaha ke pyaaz ke baghair pakwaan nahi kiya ja sakta is liye ye kitni hi mehngi kyun na khareedna zurori hai. Ghareeb afraad jo pyaaz ki qeematoun ki wajeh se pareshan hain ne kaha ke unhoun ne is ka istemaal kam kardiya hai lekin istemaal to zurori hai. Guzashta saal bhi pyaaz ki qeematoun mein be tahasha izafah ne shehrioun ko pareshan kun sorat-e-haal se dochar kardeya tha ab bhi wohi sorat-e-haal dekhi jarahi hai.

Pyaaz ki qeematoun mein jab bhi be tahasha izafah hota hai to iske bad kesaan apni tamam tar tavajja isi par markaz karte hain jis ki wajah se pyaaz ki pedawar mein bohat ziyada izafah hojata hai aur nateja mein is ki qeemat intahi kam hojati hai. Pyaaz ke baghair saalan ka tasawwur bhi mahaal hai aur saalan ke baghair pakwaan mukammal nahi hai.

Qeematoun mein izafah ko dekhte hue awam apni jaib ki gunjaish-o-zaroriat ki hadd tak hi kharidari kar rahay hain. Pyaaz ki qeemat mein izafah ne jahan aam aadmi ke liye mushkil khadi kardi hai wahein pyaaz ke baday khredar bhi par aan badhti qeematoun se pareshan hain. –YTN STAFF