Sunday, April 20, 2025
HomeLatest NewsBerozgaroun Mein 80 Feesad Afraad Siyasi Maidan Mein Career Bananay Ke Khwaahan

Berozgaroun Mein 80 Feesad Afraad Siyasi Maidan Mein Career Bananay Ke Khwaahan

Hyderabad:  Hindustan  mein is waqt berozgari ek bada masla hai lekin haliya ek surway mein yeh inkishafaat bhi hue hain ke mulazmat ke Mutlashyan mein 80 feesad log siyasi maidan mein apna career bananay ke khwaahan hain .

Mulazimatoun ki talaash ke maidan mein duniya ki number ek website Indeed ki janib se jo surway kiya gaya hai is mein mulazmat ke husool ke khwaahan afraad mein 80 feesad log siyasat ko hi apna career bananay ke khwaahan hain. 21 feesad mard siyasatdan ban’nay ko hi apna career mantay hain jabkay is muamlay mein 12 feesad khawateen siyasat ke maidan mein apna career talaash karne ki khwaahan hain.

Is surway mein jin afraad naay –apne khayalat ka izhaar kiya hai un mein 24 feesad afraad siyasat ko hi apna career banana chahtay hain jabkay 34 feesad aisay afraad hain jo ke siyasat se munsalik deegar shoba jaat jaisay siyasi tajzia nigaar, samaji karkun, falahi behbood aur siyasi sahaafat mein apna career bananay ke khwaahan hai. alawa azeen 33 feesad aisay afraad hain jo ke samaji khidmaat ke liye hukoomati tanzeemoun mein mulazmat ke khwaahan hain khaas kar insani huqooq aur falahi behbood ke shobay un ki pehli pasand hain. 59 feesad afraad ka maanna hai ke awaami jalsoun mein taqreer aur khud ko paish karne ki salahiyat siyasi maidan mein career bananay ke liye zurori hai jabkay 53 feesad afraad ka maanna hai ke samaji aur jazbati zehniat siyasi maidan mein career bananay ke liye zurori salahiyaten hain.

Is surway mein yeh haqeeqat bhi dilchasp hai ke 49 feesad afraad ka maanna hai ke siyasi maidan mein kamyaab honay ke liye sirf ek salahiyat zurori hai. jalsay ke shurka ko samajhaney ki bunyadi salahiyat siyasi maidan mein kamyabi ke liye kuleed hai .

Mazkoorah baala surway indeed ki janib se kiya gaya hai jis mein 22 taa 36 sala afraad se siyasi maidan aur is mein career ke mutaliq mukhtalif mozuaat par istafsaar kiya gaya aur yeh surway khaas kar un afraad mein kiya gaya jo ke mulazmat ke mutlashi hain. indeed mulazmat faraham karne wali ek Website hai aur usay duniya ki number ek Website honay ka aizaz haasil hai jahan 250 million afraad 28 zabanon mein 60 mukhtalif mumalik mein mukhtalif shobo mein mulazimatoun ke mawaqay talaash karte hain .-YTN STAFF