Monday, September 16, 2024
HomeOthersPublic InterestBeroon mumalik Universities mein dakheloun ke liye Gradvine ki online rehnumaiyana khidmaat

Beroon mumalik Universities mein dakheloun ke liye Gradvine ki online rehnumaiyana khidmaat

Hyderabad: Noujawan talba jo zindagi ke ahem modh per gamaz hain aur mustaqbil ke amal ke baray mein ghair yakheeni soorat-e-haal ka shikar hote hain ab inhein mustaqbil ki raah tay karne may aasani hogi. Gradvine ek online platform hai jo career guidance, profile building aur masters application ke liye durust aur ghair janibdaranah mashwaroun ke sath talba ki  madad karta hai.

Online khidmaat Carnegie Mellon University aur Darmouth college ( Ive League University ) ke sabiq talba ke zareya qayam kiya gaya portal hai. Gradvine ka wahid nuqta agenda is baat ko yakheeni banana hai ke talba aisay mashwaroun ka shikaar na hon jo na sirf mutassbana mashwara dete hain, balkay moujooda aalmi manzarname se nawaqif hote hain.Gradvine ki bunyaad Sreekar Reddy aur Suraj Peri ne rakhi thi, jo USA ki kuch behtareen Universities se farigh althasil hain. ye unka zaati tajurbah tha jiski wajah se Gradvine ka qiyam amal may aaya.

Sooraj ke mutabiq, apni Engineering ke baad hum usay beroon mulk ke alava Universities may dakhelay ke khawahish mand they aur isi liye hum ne shehar may mutadid mushavartoun idaroun se ruju kiya. beshtar marakaz ko ya to koi ilm nahi tha ya unka koi agenda posheeda tha. Unhoun ne hame ye kehte hue un Universities may darkhwast dene se housla shikni ki ke hamaray paas koi mauqa nahi hai aur hame un Universities may darkhwast dene ke liye mashwara diya gaya jin se unka moahida hua hai. Hamaray pas iske siwa koi chara nahi tha ke khud hi dakhelay ke amal ko mukammal karein.

Mai Carnegie Mellon may dakhil hua aur Sreekar  ko Dartmouth  may dakhila mela. agar hum un musheeroun ki baat sunte to shayad hum kabhi is muqam par nahi hotay.is tajurbay ne Gradvine ke qiyam ki bunyaad rakhi. isne hame America se wapas aane ki targheeb di jis ka wahid maqsad Hindustan may career guidance ke tareeqakar ko tabdeel karna hai. hamara maqsad talba ku ghair mutaliqa afraad aur pareshan kardenay wale mashwaroun se bachana hai aur America ke thos network tak rasai haasil karna aur is kaam ko yakheeni banana hai. 4 saal ke qaleel arsa mein Gradvine kamyabi ka ek shandaar record ke sath Hindustan ke ek numaya naam ban gaya hai. isne 16 mumalik may 130 Universities may 3000 se ziyada talba ku dakheloun ke liye rehnumai ki hai aur is may talba ko 50 aala aalmi Universities may se 48 may dakhela delwaya hai jin may Austin Ford, Harvard, Carnegie Mellon,Pennsylvania University,UCLA, New York University, Toronto University, ICB samait mutadid deegar shaamil hain. Ahem baat ye hai ke 15 mukhtalif mumalik ke talba ne apne roshan mustaqbil ke liye Gradvine ki khidmaat hasil ke.

CBIT ki tarha Hyderabad ke aala idaroun ke sath yaad dasht mafahimat par dastakhat kiye gaye hain, jis ne Gradvine ko unke rehnuma sathi ke tor par naamzad kiya hai. Gradvine

VNR Veganna Jyothi aur Vasavi College Of Engineering jaise sarkardah idaroun may campus session ka ineqad bi kiya hai. Gradvine ne ab 9th  aur 10th  class ke talba ke liye apni khidmat may towsee di hai. Un talba ke aala nisaab wali Universities aur Companiyoun tak rasai may madad ki jati hai taakay woh jis nisaab aur career may agay badhna chahtay hain unke baaray may haqeeqi mashwaray aur behtar maloomat inhein faraham ki ja sakain.YTN STAFF