Kolkata : Parlimani intikhabaat mein BJP musalmanoun ke khilaaf har hthkand ikhtiyar kar rahi hai aur musalmanoun se talluq rakhnay walay har is mauzo ko siyasi hathyaar ke tour par istemaal kar rahi jis se usay intikhabaat mein faida ho sakta hai. pehlay to sirf gaaye aur deegar mozuaat ko ahmiyat di jarahi thi lekin ab urdu zabaan ke khilaaf bhi maidan banaya ja raha hai. BJP ki janib se intikhabaat ke liye ab urdu ko bhi mauzo banaya ja raha hai. raye ganj parlimani halqa jo shumali Dinajpur Zila mein waqay hai baik waqt Bangladesh aur Bihar dono ki sarhad se muttasil honay ki wajah se mushtarqa tahazeeb wo tamaddun ka haamil ilaqa hai. yahan bangali bolnay walon ke sath hindi aur urdu bolne walon ki bhi khatir khawa tadaad mojood hai. congress ka gadh tasawwur kiye janay is ilaqay ki siyasat mein haliya barson mein tabdeeli dekhnay ko mili hai. Ek zamane mein jahan All India Medical Science Institute( AIMS ), chaye ke baagaat ki taraqqi aur kisanon ki zameen ke husool araazi ke khilaaf tehreek ka markaz hua karta tha lekin ab un tamam bunyadi masail par NRC , hindi ba muqabla urdu aur drandazoun ko nikaal bahar karne walay jazbati naaray aur ghair zaroor masail haawi hogaye hain .
SPIM ke umeed waar aur rukane parliment Mohammad Saleem ko is martaba chhar rukhi muqablay ka saamna hai. 2014 mein Mohammad Saleem ne apne hareef wo sabiq markazi wazeer congress leader Debadas munshi ko mehez 1,634 voton se shikast di thi. 1952 se hi yeh ilaqa congress ka gadh raha hai lekin guzishta paanch saal ke douran hukmuran jamaat Trinamool congress aur BJP dono ne is ilaqay mein apni pakad mazboot ki hai .
Raye ganj lok sabha halqay mein hindu aur muslim abadi ki sharah mein ek feesad ka farq hai. muslim abadi yahan 51 feesad hai jab ke hindu abadi 49 feesad hai. BJP ko umeed hai ke muslim vote congress, baayaan mahaaz aur Trinamool congress ke darmiyan taqseem ho jaienge aur iska faida BJP ko miley ga. kisi bhi umeed waar ko jeetnay ke liye 30 feesad vote ka haasil karna kaafi hai .
2014 mein Mohammad Saleem ne 29 feesad vote haasil kiye they. congress ki Deepadas munshi ne 28.5 feesad, BJP aur Trinamool congress ke umeed waar ne bal tarteeb 18.32 aur 17.39 feesad vote haasil kiye they. Mohammad Saleem wahid muslim umeed waar hai lekin muslim vote polarize hosakte hai . chuke shuru se hi yeh baat gardish kar rahi hai ke muslim vote ki taqseem se BJP kamyaab hosakti hai is liye ziyada imkaan hai ke muslim is umeed waar ke haq mein muttahid hojaye jo BJP ko shikast dainay ki muaqqaf mein ho. BJP September 2018 mein Darweit high school mein urdu aur Sanskrit ke asatezah ki bahaali ke khilaaf ehtijaj ke douran do sabq taalib ilmoun ki mout ke muamlay ko atharhi hai. yahan ke talba science ke teacher ka taqarrur chahtay they lekin hukoomat ne urdu aur sanskrit ke teacher ko bhaij diya tha .
Dilchasp baat yeh hai ke yeh ehtijaj urdu aur Sanskrit dono teacheron ke khilaaf ho rahay they lekin BJP sirf urdu teacher ke taqarrur ku numaya kar rahi hai. BJP ke qaumi saddar Amit Shah ne Raye Ganj mein Rally se khitaab karte hue kaha ke hukoomat schooloun mein Urdu ko musallat kar rahi hai. isi tarha BJP NRC aur drandazi ki siyasat karkay hindu voton ko polarize karne ki koshish kar rahi hai. jab ke Islampur sab division mein urdu bolnay walon ki badi tadaad mojood hai. yahan ke beshtar schools multi medium school hain lekin waqt guzarnay ke sath urdu medium khatam hota ja raha hai. beshtar urdu medium school mein asatezah ki qillat hai .
Islampur shehar mein urdu medium school ke ek teacher ne naam posheeda rakhnay ki shart par kaha ke Hindustan ki azaadi ke waqt yeh ilaqa urdu bolnay walon ka tha aur yahan ke 50% school urdu medium hua karte they. pehlay hukoomat ne multi medium school banaya aur is ke baad urdu teacheron ki qillat ki wajah se urdu medium school khatam hogaya. unhoun ne kaha ke baayaan mahaaz ne agar na insafi ki hai to Trinamool congress ne bhi urdu ke sath soutela sulooq kiya hai. Darhi weight school mein hungama aarai ke darparda woh Trinamool congress ke umeed waar kanhiya laal Agarwal par ungli uthatay hain. khayaal rahay ke Raye Ganj bangal ke un ilaqay mein se ek hai jahan RSS kaafi arsay se mehnat kar rahi hai. BJP umeed waar ne Darhi weight school se hi apni muhim ka aaghaz kiya hai. yahan 18 April ko raye dahi muqarrar hai .
Raye Ganj lok sabha halqay mein jumla 7 assembly halqay hain jis mein Islampur, Gawal Pokhar, Chakoliah, Kiran deghi, Hematabad, Kaliyaganj Aur Raye Ganj shaamil hain. 2016 ke assembly intikhab mein chunkay congress aur baayaan mahaaz ne mil kar intikhab lada tha aur donon ne saat mein se paanch nishistoun par kamyabi haasil ki. jabkay Trinamool congress ko do nishistoun par kamyabi mili. BJP apna khatah kholnay mein bhi nakaam rahi. Islampur se congress ke ticket par Kanhaiya lal Agarwal kamyaab hue they woh ab Trinamool congress mein shaamil ho chukay hain, is martaba Trinamool congress ke umeed waar bhi hain. BJP ki umeed waar دیبو shree choudhri guzashta martaba bardwan. Dargahpur se intikhab lada tha lekin a seen martaba party ne inhen raye ganj se umeed waar banaya hai. Debushri ko umeed waar banaye janay ki wajah se Raye Ganj ke BJP hamion mein narazgi bhi hai .
Mohammad Saleem ke hamiyoun ka maanna hai guzashta paanch saal tak unhon ne bilatafriq mazhab wo millat logon ki madad ki hai. selaab mutasireen ki madad karne mein Mohammad Saleem paish paish rahay hain. is liye raye ganj mein mukhtalif maqamat par yeh poster lagey hue hain, phir se Saleem , dil se Saleem . parcha namzadgi daakhil karte waqt BJP ne RSS ki tanzeemi madad, Trinamool congress ke mishal power ka muzahira hua wahein Mohammad Saleem ne 6 kilometer taweel juloos nikaal kar apni taaqat ka muzahira kiya . – YTN STAFF