Thursday, May 9, 2024
HomeIndiaBengal mein awam khauf zada, sadar raj nifaz karne ki zaroorat :...

Bengal mein awam khauf zada, sadar raj nifaz karne ki zaroorat : Babul Supriya

Kolkata: Maghribi Bengal mein assembly intikhabaat ko 6 mah se bhi kam ka arsa baqi hai. BJP aur Trinamool congress ke darmiyan lafzi jung tez hogayi hai. Lok sabha intikhabaat mein 42 mein se 18 seats par kamyabi haasil karne ke baad BJP ke hauslay buland hain aur ab assembly intikhabaat mein kamyabi haasil karne ke liye purazm hai.

Markazi wazeer Babul Supriya ke bayan ne phir ek martaba tanaza paeda kardiya hai ke jaisa ke unhon ne kaha ke Hindustan ke dastoor mein reyasti hukoomat ke zareya awam ko khauf zada karne se roknay ke liye sadar raj ke nifaz ke daf-aat mojood hain aur isko nafiz kiya jasakta hai.

Supriya ne hukmuran jamaat Trinamool congress ke zareya BJP ke kaarkunon ke mobayyana qatal ka hawala dete hue kaha kay ab tak BJP ke sosay ziyada kaarkunon ko halaak kiya ja chuka hai lekin jab bhi is ki nishandahi ki jati hai to reyasti hukoomat karwai karne ke bajaye is muamlay ko kharij kardeti hai.

BJP karkunaan ko mara jaraha hai aur agar mamta Banerjee samjhti hain ke markaz mein ek kamzor hukumat hai to woh ek bohat badi ghalti kar rahi hain. BJP ko kuch nahi karna padega kyunkay dastoor mein hi aisi daf-aat mojood hain ke is tarhan ki tabah kin aur sakht hukoomat ko kaisay roka jaye. dastoor mein aisi hukoomaton ke liye hal mojood hain. yeh rasta ikhtiyar karna namumkin nahi hai. to didi ko yeh nahi sochna chahiye ke woh logon ko vote cast karne se door rakhnay ke liye aglay 6 mah ke douran logon par tashadud karti rahengi.

Supriya  ke bayan par sakht tanqeed karte hue kaha ke Uttar pardesh ke muqablay Bengal mein aman wo aman ki sorat-e-haal behtar hai aur party is tarhan ke bayanaat ko koi ahmiyat nahi deti hai. Trinamool congress ke rukan-e-parliment ne kaha ke babul Supriya  riyasat mein aeen ke article 356 ke nifaz ka hawala day rahay hain lekin Trinamool congress isko sanjeedgi se nahi lerahi hai. unhon ne kaha ke Supreme Court ne wazeh tor par dafaa 356 ke nifaz ke liye zaroori Hidayat day rakhi hain. woh sirf kuch siyasi bayanaat day raha hai, jiski koi ahmiyat nahi hai aur agar markaz ko dafaa 356 par amal karna hai to, inhen pehlay Uttar pardesh ko dekhnay ki zaroorat hai.