Monday, April 29, 2024
HomeIndiaBengal ke Madarsoun ko dehshat gardi se jodney ki koshish, BJP par...

Bengal ke Madarsoun ko dehshat gardi se jodney ki koshish, BJP par Mamta Banerjee ki tanqeed

Kolkata : Maghribi Bengal ke madaris se mutaliq BJP ki qiyadat mein markazi hukoomat ki parliament mein paish kardah report ki sakht tanqeed karte hue Mamta Banerjee ne kaha ke BJP ne siyasi agenday ke tehat Bengal ke Madarsoun se mutaliq report muratab ki hai ke Bengal ke do azlaa mein Madarsoun ke zareya dehshat gardoun ki bahaali ki jarahi hai.

Chief minister Mamta Banerjee ne kaha ke markazi hukoomat ne riyasti hukoomat ki report ko nazar andaaz karkay apne tour par report paish ki hai. jab parliment mein poocha gaya ke reyasti hukoomat ne is se mutaliq kiya kaha hai, Mamta Banerjee ne assembly mein kaha ke jab 28 June ko sarhadi azlaa mein Madarsoun se mutaliq sawalaat puche gay to markazi hukoomat ne hamari report ko paish nahi kiya aur apne tor par jawab diya. is mauqa par Mamta Banerjee ne reyasti assembly mein Madarsoun se mutaliq report paish ki.

Mamta Banerjee ne kaha ke samaaj dushman woh bahar soorat mein samaaj dushman hi hota hai is ko kisi bhi mazhab se nahi joda jasakta hai. chor Chore he hota hai agar koi waqea paish aata hai to hukoomat ko karwai karni chahiye. BJP har ek cheez par siyasat karti hai. BJP markazi agencies ke khutoot har ek ko bhejhay jadahay hain. har ek ko khauf zada kiya ja raha hai. maghribi Bengal mein siyasi tashadud ke waqeat par markazi wazeer mumlikat G krishan ready ne kaha ke hum ne Bengal hukoomat se is se mutaliq report maangi hai. intikhabaat se qabal aur baad mein hue tashadud ke waqeat se mutaliq hamein report mili hai ke maghribi Bengal mein siyasat ki bunyaad par kayi afrad ki mout aur kai zakhmi hue hain aur 9 June ko advisers jari karte hue reyasti hukoomat ko law and order ko barqarar rakhnay ki Hidayat di gayi hai. markazi wazeer mumlikat ne yeh bhi kaha tha ke mamnooa jamaat al Mujahedin Bangladesh bardwan aur murshedaabad ke zilon ke Madarsoun mein dehshat gardi ke liye nojawanon ki zehan saazi kar rahay hain.

Markazi wazeer ke bayan ke baad Bengal assembly mein BJP ko chodhe kar baayaan mahaaz, congress aur TMC  tenun ne is maslay par behas karwane ka mutalba kiya. do din qabal oppostion leader aur senior congress Rehnuma Abdul Mannan ne reyasti hukoomat se markazi hukoomat ki paish kardah report jawab talabb karte hue kaha ke ab tak is muamlay mein karwai kyun nahi hui aur agar yeh sirf siyasat ke liye kiya ja raha hai to hum yeh nahi honay denge. hukoomat se ittafaq wo Adam ittafaq ho sakta hai lekin Bengal ke culture, tahazeeb wo tamaddun par hamlay ko bardasht nahi kiya jayega. Abdul Mannan ne kaha ke BJP hukoomat ko Bengal ke Madarsoun se mutaliq ilm nahi hai yahan badi tadaad mein ghair muslim bachay aur ghair muslim asatezah padhatay hain.

Reyasti wazeer Siddiq ullah  choudhri ne kaha ke ek 2 afraad ki ghaltion ko poori qoum se nahi joda jana chahiye. taham jahan tak Madarsoun ka sawal hai ke Bengal ke madaris ki ek tareekh hai aur mulk ki taraqqi mein Madarsoun ke fazil wo taleem Yafta nojawanon ne kaledi kirdaar ada kiya hai. Madarsoun ke khilaaf BJP saboot paish nahi kar sakaygi. CPM ke  rukan wo sabiq rukan-e-parliment Mohammad Saleem ne markazi hukoomat ki report ko siyasat qarar dete hue kaha ke NIA unke paas hai ab tak karwai kyun nahi ki gayi. jab markaz ke paas report thi aisay Madarsoun ko nishandahi ki jati. Mulk ka koi bhi ek shehri dehshat gardi ki himayat nahi karta hai. taham sirf siyasi faydey ke liye is tarhan ki report paish karne se kuch bhi haasil nahi honay wala hai.
-YTN STAFF