Tuesday, May 14, 2024
HomeTrending NewsBemaar beti ke liye safar ki ijazat par hukoomat ne tayyarah faraham...

Bemaar beti ke liye safar ki ijazat par hukoomat ne tayyarah faraham kardiya

Riyadh: Saudi Arab ke janoobi ilaqay Aseer  main apni bemaar beti ke ilaaj aur usay Riyadh tak safar ki ijazat ke husool ke liye pareshan shehri ko wizarat sahet ki taraf se aisi sahoolat faraham ki gayi jis par shehri shashdar reh gaya. Usay yaqeen nahi tha ke Aseer se Riyadh ke safar mein hukoomat usay khusoosi tayyarah faraham kar sakti hai.
Tafseelaat ke mutabiq Saudi Arab mein Corona ki waba ki wajah se wizarat sahet is waqt sab se masroof tareen mehakma hai magar Aseer se talluq rakhnay walay shehri Hasan Al Khabrani ko hukoomat ki taraf se di gayi sahoolat se saaf maloom hota hai ke tamam tar bhoranoun mein shehrioun bhoranoun mein shehrioun ki sahuliyaat hukoomat ke liye har cheez par muqadam hain.

Hasan Al Khabrani ney kaha ke is ney wizarat sahet ke hukkaam se rabita kiya aur apni 12 sala beti ke Riyadh mein ilaaj ke liye safar ki ijazat mangi. Al-Khabrani ney hukkaam ko bataya ke Aseer se Riyadh tak safar taweel aur mushkilaat se bharpoor hai lekin usay corona ki pabandioun mein safar ki ijazat darkaar hai. Is par hukoomat ki taraf se Al-Khabrani ko apni beti ko Aseer se Riyadh mein hospital pohanchanay ke liye khusoosi tayyarah faraham kiya gaya.
Media se baat karte huve Al-Khabrani ney kaha ke mushkil waqt mein hukoomat ney mere sath jo Hus-ne sulooq kiya hai wo mujhe hamesha yaad rahega. Mein wizarat sehat ke is ehsaan ku kabi faramosh nahi karsakta.

Hasan Al-Khabrani ney kaha ke is ki 12 sala bachay ko dimaghi aarzah la-haq tha aur wo 2 mah se ilaaj ke liye bachi ko Riyadh le jana chahta tha. Bachi ki surgery na guzeer thi. Aakhir-kaar ney wizarat sahet ke hukkaam se beti ke ilaaj ke liye safar ki ijazat mangi to hukoomat ki taraf se nah sirf usay safar ki ijazat di balkay bachi ko senkdoun mil daur le janey ke liye khusoosi tayyarah faraham kardiya. Is ney majaboori ke aalam mein hukoomat ki taraf se safar ke liye khusoosi tayyarah faraham karne par wizarat sahet ka shukriya ada kiya. Is ney kaha ke ye sab khadim Al Harmin Al Sharifin, Shah Salman Wali Ahad shehzada Mohammad Bin Salman aur wazeer e sahet Toufeq Al Rabeya ki awam dost kawishoun ka nateeja hai. –YTN STAFF