Monday, May 6, 2024
HomeSliderBelgium mein Islami Shariyat ke nifaz ke khilaaf 'jamhoori' quwatoon ka gath...

Belgium mein Islami Shariyat ke nifaz ke khilaaf ‘jamhoori’ quwatoon ka gath jod

 Belgium ki ‘Islam’ Party par pabandi ke liye Belgium ki 4 partiyon ki dastoor mein tarmeem ki koshish

Europi Mulk Belgium ke siyasi akhadhe ki chaar badi jamhoori siyasi jamaaton ney Mulk mein Islami Shariyat ke nifaz ke liye koshan ‘Islam’ Party par pabandi laganay ki koshishen shuru kar di hain. Belgium ki dayen baazu, aitedaal pasand aur bayen baazu se talluq rakhnay wali chaar siyasi partiyon ney dastoor mein aik tarmeemi bill paish karne ka elaan kiya hai jis mein mazhabi bunyadon par siyasat mein sargaram honay aur Islami Shariyat ke nifaz ka mutalibah karne se roknay ki sifarish ki jaye gi, jis ke liye yeh taweel paish ki jarahi hai ke is mujaweza aaeni tarmeem ka maqsad Mulk ke dastoor ke liye khatrah ban’ney wali jamaaton par pabandi aayed karna hai. Belgium ke Rukn e Parliment Richard Miller ka kehna hai ke ‘Islam’ party ke numaindon ney khulay bundon Mulk ka adalti nizaam tabdeel karkay islami sharai adalti nizaam nafiz karne ki khwahish ka izhaar kiya hai, taham un ke gair jamohori nazriaat par manfi rad-e-amal ke khadshay ke paish nazar unho ney apne programme ke baaz nukaat tabdeel kiye hain. ‘Islam’ party ke sarbarah ney apne  islami sharai qawaneen ke nifaz ki koshisho ka bermila izhaar kiya hai. ‘Islam’ party ke Morocan rukn Abdul Hayi Baqali Tahiri ney kaha ke ‘haan mein pooray wusooq aur wazahat ke sath kehta hon ke hamari jamaat ka manshoor Belgium ke dastoor ko islami sanchay mein dhalna aur Belgium mouashra mein Islami qawaneen ke nifaz ki koshish karna hai’ unhon ney mazeed wazahat ki ke Islami sharai qawaneen duniya ke kayi dosray mulkon mein bhi raayej hain. Hum islami qawaneen ko aik Role Model ke tour par paish karna chahtay hain. ‘Islam’ party ki Belgium mein Islami Shariyat ke nifaz ki koshishon par Mulk ke siyasi aur samaji halqon ki taraf se shadeed tanqeed ki jarahi hai. Awaami halqon mein bhi Belgium ki Islami jamaat aur uss ki Mulk mein tabdeeli ki koshisho ko mashkook qarar diya hai. Mulk ki chaar badi jamhoori siyasi partiyon Socialist Party, Human Democratic Party, Reformer Movement aur Challenge Party ney ‘Islam’ party ki raah roknay ki koshishen teez kardi hain aur Tahiya kya ke Parliment mein Islam Party ki koshishon ko nakam banaye jaye ga. Yahan yeh baat qabil zikar hai ke Belgium mein Musalman aqliyat mein hain is ke bawajood Islam Party  Mulk mein sharai qawaneen ke nifaz ki batein kar rahi hai.